aahista se guzro
guzarnā hī agar Thahrā
to āhista se guzro
koī aahaT na ho paa.e
abhī raste meñ rasta so rahā hai
abhī vīrānī ke pahlū meñ ḳhvābīda hai ḳhāmoshī
abhī tanhā.ī se lipTī masāfat so rahī hai
kahīñ aisā na ho
dasht-e-tahayyur jaag jaa.e
lahū meñ be-karāñ ġham kā samundar jaag jaa.e
abhī to pahle Dar hī se ragoñ meñ ḳhāmushī hai
abhī to ḳhuun kī har buuñd ruk ruk ke saraktī hai
abhī ġham dil meñ
kuchh is andāz se karvaT badaltā hai
nahīñ hotā zarā mahsūs bhī vo saañs letā hai
ba-zāhir so rahā hai ye samundar
is ko sone do
hameñ bhī apne hone par zarā sā khul ke rone do
guzarnā ho to is manzar se āhista
bahut āhista se guzro
abhī to dhuup chhāñv kā
tamāshā ho rahā hai
abhī ashjār ke saa.e meñ dariyā so rahā hai
koī is ke kināre
bādaloñ sā ro rahā hai
guzarna hi agar Thahra
to aahista se guzro
koi aahaT na ho pae
abhi raste mein rasta so raha hai
abhi virani ke pahlu mein KHwabida hai KHamoshi
abhi tanhai se lipTi masafat so rahi hai
kahin aisa na ho
dasht-e-tahayyur jag jae
lahu mein be-karan gham ka samundar jag jae
abhi to pahle Dar hi se ragon mein KHamushi hai
abhi to KHun ki har bund ruk ruk ke sarakti hai
abhi gham dil mein
kuchh is andaz se karwaT badalta hai
nahin hota zara mahsus bhi wo sans leta hai
ba-zahir so raha hai ye samundar
is ko sone do
hamein bhi apne hone par zara sa khul ke rone do
guzarna ho to is manzar se aahista
bahut aahista se guzro
abhi to dhup chhanw ka
tamasha ho raha hai
abhi ashjar ke sae mein dariya so raha hai
koi is ke kinare
baadalon sa ro raha hai
- Book : Raah-daari mein gunjti nazm (rekhta website) (Pg. 79)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.