dam-ba-dam apnī hī nazroñ se utarte hue log
haiñ ajab log ye har saañs meñ marte hue log
yād-e-māzī ke ḳharāboñ meñ ThiThurte hue log
ḳhisht-e-pārīna kī mānind bikharte hue log
lazzat-e-zīst se ḳhā.if ġham-e-hastī se ḳhafā
apne jazbāt se har lahza mukarte hue log
jalva-e-rū-e-haqīqat se nigāheñ phere
apne auhām se sargoshiyāñ karte hue log
in kī āñkhoñ meñ dhuñdalkoñ ke sivā kuchh bhī nahīñ
ḳhvāb kyā dekheñge ta.abīr se Darte hue log
dam-ba-dam apni hi nazron se utarte hue log
hain ajab log ye har sans mein marte hue log
yaad-e-mazi ke KHarabon mein ThiThurte hue log
KHisht-e-parina ki manind bikharte hue log
lazzat-e-zist se KHaif gham-e-hasti se KHafa
apne jazbaat se har lahza mukarte hue log
jalwa-e-ru-e-haqiqat se nigahen phere
apne auham se sargoshiyan karte hue log
in ki aankhon mein dhundalkon ke siwa kuchh bhi nahin
KHwab kya dekhenge tabir se Darte hue log
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.