aaina-KHane ke qaidi se
zaat kā ā.īna-ḳhāna
jis meñ raushan ik charāġh-e-ārzū
chār-sū
za.afrānī raushnī ke dā.ere
muḳhtalif haiñ ā.īnoñ ke zāviye
ek lekin aks-e-zāt;
ik ikaa.ī par usī kī zarb se
kasrat-e-vahdat kā paidā hai tilism
ḳhalvat-e-ā.īna-ḳhāna meñ kahīñ koī nahīñ
sirf maiñ!
maiñ hī but
aur maiñ hī but-parast!
maiñ hī bazm-e-zāt meñ raunaq-afroz
jalva-hā-e-zāt ko detā huuñ daad!
jab havā-e-shoḳh kī mauj-e-sharīr
toḌ jaatī hai kisī khiḌkī ke parde kā jumūd
to bigaḌ jaatā hai khel
dev-qāmat aks ko baunā banā detī hai bāhar kī kiran
ai mirī nā-musta.id majhūl zaat
ai ki tū az-ḳhud nazar-band ā.īna-ḳhāne meñ hai
sochtī hai tū kahegī an-kahā
aur kuchh kahtī nahīñ!
sochtī hai tū likhegī shāhkār
aur kuchh likhtī nahīñ!
sochtī hai tū jahāñ-dārī kī baat
aur kuchh kartī nahīñ!
sochne hī sochne meñ sā.at-e-taḳhlīq jab
tere shal hāthoñ se jaatī hai phisal
to bilak paḌtī hai tū
ai mirī nā-musta.id majhūl zaat
ḳhalvat-e-ā.īna-ḳhāne se nikal
ai charāġh-e-ārzū
jis taraf zau-pāsh ho
jis taraf se shāh-rāh-e-justujū
taash aur shatranj ke shāhoñ se bartar hai kahīñ
vo piyāda jo chale
vo piyāda jo chale ḳhud apnī chaal
ai mirī nā-musta.id majhūl zaat
koī fikr
koī kaam!
koī baat!
zat ka aaina-KHana
jis mein raushan ek charagh-e-arzu
chaar-su
zafrani raushni ke daere
muKHtalif hain aainon ke zawiye
ek lekin aks-e-zat;
ek ikai par usi ki zarb se
kasrat-e-wahdat ka paida hai tilism
KHalwat-e-aina-KHana mein kahin koi nahin
sirf main!
main hi but
aur main hi but-parast!
main hi bazm-e-zat mein raunaq-afroz
jalwa-ha-e-zat ko deta hun dad!
jab hawa-e-shoKH ki mauj-e-sharir
toD jati hai kisi khiDki ke parde ka jumud
to bigaD jata hai khel
dew-qamat aks ko bauna bana deti hai bahar ki kiran
ai meri na-mustaid majhul zat
ai ki tu az-KHud nazar-band aaina-KHane mein hai
sochti hai tu kahegi an-kaha
aur kuchh kahti nahin!
sochti hai tu likhegi shahkar
aur kuchh likhti nahin!
sochti hai tu jahan-dari ki baat
aur kuchh karti nahin!
sochne hi sochne mein saat-e-taKHliq jab
tere shal hathon se jati hai phisal
to bilak paDti hai tu
ai meri na-mustaid majhul zat
KHalwat-e-aina-KHane se nikal
ai charagh-e-arzu
jis taraf zau-pash ho
jis taraf se shah-rah-e-justuju
tash aur shatranj ke shahon se bartar hai kahin
wo piyaada jo chale
wo piyaada jo chale KHud apni chaal
ai meri na-mustaid majhul zat
koi fikr
koi kaam!
koi baat!
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.