aaina
laḌkī sar ko jhukā.e baiThī
kaafī ke pyāle meñ chamcha hilā rahī hai
laḌkā hairat aur mohabbat kī shiddat se pāgal
lāñbī palkoñ ke larzīda sāyoñ ko
apnī aañkh se chuum rahā hai
donoñ merī nazar bachā kar
ik duuje ko dekhte haiñ hañs dete haiñ
maiñ donoñ se duur
darīche ke nazdīk
apnī hathelī par apnā chehra rakhe
khiḌkī se bāhar kā manzar dekh rahī huuñ
soch rahī huuñ
ga.e dinoñ meñ ham bhī yūñhī hañste the
laDki sar ko jhukae baiThi
kafi ke pyale mein chamcha hila rahi hai
laDka hairat aur mohabbat ki shiddat se pagal
lanbi palkon ke larzida sayon ko
apni aankh se chum raha hai
donon meri nazar bacha kar
ek duje ko dekhte hain hans dete hain
main donon se dur
dariche ke nazdik
apni hatheli par apna chehra rakhe
khiDki se bahar ka manzar dekh rahi hun
soch rahi hun
gae dinon mein hum bhi yunhi hanste the
- Book : Muntakhab Shahkar Nazmon Ka Album) (Pg. 451)
- Author : Munavvar Jameel
- Publication : Haji Haneef Printer Lahore (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.