aaina
mirī bilkul na.ī aur ḳhūbsūrat Diary par
jab us ke nanhe munne haath
TeḌhī meḌhī lakīreñ khīñch kar
apne bachpan ko pesh karte haiñ
to mujhe bilkul ġhussa nahīñ aatā
use haq hai ki vo apnī ma.asūm ḳhvāhishāt
apnī soch apnī chhoTī sī duniyā ko
kāġhaz par utaar de
apne dimāġh kī har girah khol kar rakh de
juuñ kā tuuñ apnā bachpan
kāġhaz ke pairahan meñ Dhaal kar
mutma.in ho kar
roz kī tarah dauḌī dauḌī mere paas aa.e
mere gale meñ bāñheñ Daal kar pūchhe
daadī aap kī tasvīr banā.ūñ
aur mere javāb kā intizār kiye baġhair
ik ajab shān-e-be-niyāzī se
sketch-pen aur Diary le kar
merī tasvīr banāne meñ masrūf ho jaa.e
aur apnī ye tasvīr maiñ duniyā ke sāmne pesh karūñ
ki bachche chhoTe nahīñ hote
us kī banā.ī huī ye tasvīr
merā aslī ā.īna ban jaa.e
meri bilkul nai aur KHubsurat Diary par
jab us ke nanhe munne hath
TeDhi meDhi lakiren khinch kar
apne bachpan ko pesh karte hain
to mujhe bilkul ghussa nahin aata
use haq hai ki wo apni masum KHwahishat
apni soch apni chhoTi si duniya ko
kaghaz par utar de
apne dimagh ki har girah khol kar rakh de
jun ka tun apna bachpan
kaghaz ke pairahan mein Dhaal kar
mutmain ho kar
roz ki tarah dauDi dauDi mere pas aae
mere gale mein banhen Dal kar puchhe
dadi aap ki taswir banaun
aur mere jawab ka intizar kiye baghair
ek ajab shan-e-be-niyazi se
sketch-pen aur Diary le kar
meri taswir banane mein masruf ho jae
aur apni ye taswir main duniya ke samne pesh karun
ki bachche chhoTe nahin hote
us ki banai hui ye taswir
mera asli aaina ban jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.