aaine ka aadmi
sub.h ke zāfrānī laboñ par
jo shafqat kī halkī sī muskān thī
ek ThiThurī huī raat kī dhuñd meñ
kho chukī hai
mire chhoTe bhaa.ī ne
mujh ko likhā hai
ki āñgan meñ jo niim kā peḌ thā
ab ke tūfān meñ gir chukā hai
vahāñ ThanDī chhāñv nahīñ
dhuup kā silsila
magar khoj meñ nān-o-nafqa kī
niklā huuñ
ek kamzor sā aadmī
apne ḳhvāboñ kī baisākhiyoñ par Tañgā
zindagī-bhar
jo sūkhe hue hoñT kī pīḌhiyoñ se
kuñ.eñ tak ke
be-ant rastoñ pe chaltā rahā
aaj bhī vo mire sāmne
aa.ine meñ khaḌā hai
subh ke zafrani labon par
jo shafqat ki halki si muskan thi
ek ThiThuri hui raat ki dhund mein
kho chuki hai
mere chhoTe bhai ne
mujh ko likha hai
ki aangan mein jo nim ka peD tha
ab ke tufan mein gir chuka hai
wahan ThanDi chhanw nahin
dhup ka silsila
magar khoj mein nan-o-nafqa ki
nikla hun
ek kamzor sa aadmi
apne KHwabon ki baisakhiyon par Tanga
zindagi-bhar
jo sukhe hue honT ki piDhiyon se
kunen tak ke
be-ant raston pe chalta raha
aaj bhi wo mere samne
aaine mein khaDa hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.