aaine se
aa.ine kuchh to batā un kā to hamrāz hai tū
tū ne vo zulf vo mukhḌā vo dahan dekhā hai
un ke har haal kā be-sāḳhta-pan dekhā hai
vo na ḳhud dekh sakeñ jis ko nazar bhar ke kabhī
tū ne jī bhar ke vo har ḳhatt-e-badan dekhā hai
un kī tanhā.ī kā dildār hai dam-sāz hai tū
aa.ine kuchh to batā un kā to hamrāz hai tū
kyā vo shā.er kī tarah ḳhud ko kabhī dekhte haiñ
TikTikī bāñdh ke kyā apnī chhabī dekhte haiñ
shoḳh ma.asūm javāñ mast sajal be-parvā
kyā vo ḳhud apne ye andāz sabhī dekhte haiñ
itnā gum-sum hai ki ḳhud apnā hī andāz hai tū
aa.ine kuchh to batā un kā to hamrāz hai tū
kabhī ghabrā.e hue bhī to vo aate hoñge
dil kī dhaḌkan ko jo ruḳhsār pe paate hoñge
kāñptā jism sambhāle na sambhaltā hogā
apnī āñkhoñ se bhī ḳhud aañkh churāte hoñge
zabt-e-nā-kām kā ghabrāyā huā naaz hai tū
aa.ine kuchh to batā un kā to hamrāz hai tū
maḳhmalīñ zulf banāne vo jab ā.eñge nā
pahle us chāñd se mukhḌe kī balā.eñ lenā
phir zabāñ tujh ko jo mil jaa.e sargoshī meñ
husn ko aur nikharne kī duā.eñ denā
ḳhalvat-e-husn meñ ik ishq kī āvāz hai tū
aa.ine kuchh to batā un kā to hamrāz hai to
aaine kuchh to bata un ka to hamraaz hai tu
tu ne wo zulf wo mukhDa wo dahan dekha hai
un ke har haal ka be-saKHta-pan dekha hai
wo na KHud dekh saken jis ko nazar bhar ke kabhi
tu ne ji bhar ke wo har KHatt-e-badan dekha hai
un ki tanhai ka dildar hai dam-saz hai tu
aaine kuchh to bata un ka to hamraaz hai tu
kya wo shaer ki tarah KHud ko kabhi dekhte hain
TikTiki bandh ke kya apni chhabi dekhte hain
shoKH masum jawan mast sajal be-parwa
kya wo KHud apne ye andaz sabhi dekhte hain
itna gum-sum hai ki KHud apna hi andaz hai tu
aaine kuchh to bata un ka to hamraaz hai tu
kabhi ghabrae hue bhi to wo aate honge
dil ki dhaDkan ko jo ruKHsar pe pate honge
kanpta jism sambhaale na sambhalta hoga
apni aankhon se bhi KHud aankh churaate honge
zabt-e-na-kaam ka ghabraya hua naz hai tu
aaine kuchh to bata un ka to hamraaz hai tu
maKHmalin zulf banane wo jab aaenge na
pahle us chand se mukhDe ki balaen lena
phir zaban tujh ko jo mil jae sargoshi mein
husn ko aur nikharne ki duaen dena
KHalwat-e-husn mein ek ishq ki aawaz hai tu
aaine kuchh to bata un ka to hamraaz hai to
- Book : aaina dar aaina (Pg. 113)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.