Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aaine se jhankti nazm

Fariha Naqvi

aaine se jhankti nazm

Fariha Naqvi

MORE BYFariha Naqvi

    mere bāloñ meñ chāñdī utar aa.ī hai....

    pyāre bābā! meñ kuchh baal toḌūñ?

    ki ham un ko becheñge....

    phir jo ruupe hoñge,

    un se

    jahez aur shādī tayyāriyāñ ho sakeñgī....

    maiñ yuuñ aap roz bujhtā huaa,

    aur murjhāyā chehra nahīñ dekh pātī....

    suneñ! mere bāloñ meñ chāñdī utar aa.ī hai

    mere baalon mein chandi utar aai hai

    pyare baba! mein kuchh baal toDun?

    ki hum un ko bechenge

    phir jo rupe honge,

    un se

    jahez aur shadi ki tayyariyan ho sakengi

    main yun aap ka roz bujhta hua,

    aur murjhaya chehra nahin dekh pati

    sunen! mere baalon mein chandi utar aai hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now