aaj
aaj
ye aaj kyā hai
kabhī tum ne sochā bhī hai
aaj
ye aaj
tārīḳh hai apnī tahzīb kī
apne anmol maazī kī mīrās hai
aaj
ye aaj kyā hai
kabhī tum ne sochā bhī hai
aaj
ye aaj
paiġhām hai
apne mustaqbil-e-tābnāk-o-ziyā-pāsh kā
apne fardā kī ḳhush-rang ta.abīr hai
aaj
ye aaj kyā hai
kabhī tum ne sochā bhī hai
aaj
ye aaj
sirf ik nahīñ aaj hī
hai ye maazī kī anmol mīrās bhī
hai ye fardā kī
ḳhush-rang ta.abīr bhī
aaj
ye aaj kya hai
kabhi tum ne socha bhi hai
aaj
ye aaj
tariKH hai apni tahzib ki
apne anmol mazi ki miras hai
aaj
ye aaj kya hai
kabhi tum ne socha bhi hai
aaj
ye aaj
paigham hai
apne mustaqbil-e-tabnak-o-ziya-pash ka
apne farda ki KHush-rang tabir hai
aaj
ye aaj kya hai
kabhi tum ne socha bhi hai
aaj
ye aaj
sirf ek nahin aaj hi
hai ye mazi ki anmol miras bhi
hai ye farda ki
KHush-rang tabir bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.