aaj aur kal
aas paas
saañs letī zindagī
amn chain kī
chāhat meñ
uḌte parinde
ghar āñgan meñ
hariyālī ke saa.e
taaza bahtī havā.eñ
roz-marra zindagī kī
chhoTī chhoTī ummīdeñ
bahut kuchh baaqī hai abhī
na.e sire se
duniyā ko
sajāne sañvārne ke liye
apne aaj ko sañbhāl kar
aur ḳhūbsūrat banāne ke liye
aas pas
sans leti zindagi
amn chain ki
chahat mein
uDte parinde
ghar aangan mein
hariyali ke sae
taza bahti hawaen
roz-marra zindagi ki
chhoTi chhoTi ummiden
bahut kuchh baqi hai abhi
nae sire se
duniya ko
sajaane sanwarne ke liye
apne aaj ko sanbhaal kar
aur KHubsurat banane ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.