aaj aur kal
bhūkī āñkheñ kal ko dekhīñ
jhūTī aas lagā.e
aane vaalī kal kab aa kar aaj kī bhuuk miTā.e
aane vaalī kal pe bharosa
kab aa.e kyā laa.e
biitī kal
biitī kal ke diip kī lau kab aaj kī jot jagā.e
maayā chhal ke
chhāyā Dhal ke
lauT ke phir nahīñ aa.e
aaj kī bhuuk hai aaj kā ronā
aaj kā raag suhāg
jhuuT kapaT se
lāg-lipaT se
aaj ke diip jalāo
aaj ke mañgal gaav
biitī kal ke diip kī lau kab aaj kī jot jagā.e
aane vaalī kal pe bharosa
kab aa.e kyā laa.e
bhuki aankhen kal ko dekhin
jhuTi aas lagae
aane wali kal kab aa kar aaj ki bhuk miTae
aane wali kal pe bharosa
kab aae kya lae
biti kal
biti kal ke dip ki lau kab aaj ki jot jagae
maya chhal ke
chhaya Dhal ke
lauT ke phir nahin aae
aaj ki bhuk hai aaj ka rona
aaj ka rag suhag
jhuT kapaT se
lag-lipaT se
aaj ke dip jalao
aaj ke mangal gaw
biti kal ke dip ki lau kab aaj ki jot jagae
aane wali kal pe bharosa
kab aae kya lae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.