aaj
ḳhvāb kī sīḌhiyāñ
lamha lamha
utartā huā aur chaḌhtā huā
dhuup bādal meñ loTeñ lagātā huā
phuul se ḳhaar se
vo guzartā huā
aarzū kī thakan
tishnagī kī shikan
dil pe majma.a kiye
aaj
āñgan ke tārīk goshe meñ
ambār par kuuḌe ke
zañg-ālūd
ik qufl sā rah gayā hai
kalīd-e-vafā se
nahīñ jis kā
koī bhī naatā
KHwab ki siDhiyan
lamha lamha
utarta hua aur chaDhta hua
dhup baadal mein loTen lagata hua
phul se KHar se
wo guzarta hua
aarzu ki thakan
tishnagi ki shikan
dil pe majma kiye
aaj
aangan ke tarik goshe mein
ambar par kuDe ke
zang-alud
ek qufl sa rah gaya hai
kalid-e-wafa se
nahin jis ka
koi bhi nata
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.