aaj ka aKHbar
darvāze pe khaT se huī ik āvāz
aur maiñ chauñk ga.ī
zarūr hogā aaj kā aḳhbār
darvāza khol kar dekhā
merā andāza sahī nahīñ thā
vahāñ aḳhbār paḌā nahīñ thā
vahāñ thā aag kā ek golā
us meñ lipTī thiiñ
chand maslī huī ma.asūm kaliyāñ
kuchh gandī tang galiyāñ
bhuuk kā soz
aur kuchh zaḳhīra-andoz
be-roz-gārī kā sannāTā
ġhurbat kā chāñTā
sūkhā aur bāzār manda
saath meñ ḳhud-kushī kā thā phandā
sarhadoñ ke jhagḌe
jang
aur ek ḳhatra atom-bomb
kitne jangal
ghaTtī hariyālī
bīmārī
aspatāloñ kī bad-halī
ghoTāloñ kā shor
aur rishvat-ḳhorī kī hoḌ
zulm-o-sitam kī dāstāneñ
dhamākoñ kī āvāzeñ
dimāġh ghuum gayā
phir ġhaur se dekhā
are nahīñ
vo aaj kā aḳhbār hī thā
larazte kāñpte hāthoñ se uThā liyā
uThānā to thā hī nā
darwaze pe khaT se hui ek aawaz
aur main chaunk gai
zarur hoga aaj ka aKHbar
darwaza khol kar dekha
mera andaza sahi nahin tha
wahan aKHbar paDa nahin tha
wahan tha aag ka ek gola
us mein lipTi thin
chand masli hui masum kaliyan
kuchh gandi tang galiyan
bhuk ka soz
aur kuchh zaKHira-andoz
be-roz-gari ka sannaTa
ghurbat ka chanTa
sukha aur bazar manda
sath mein KHud-kushi ka tha phanda
sarhadon ke jhagDe
jang
aur ek KHatra atom-bomb
kitne jangal
ghaTti hariyali
bimari
aspatalon ki bad-hali
ghoTalon ka shor
aur rishwat-KHori ki hoD
zulm-o-sitam ki dastanen
dhamakon ki aawazen
dimagh ghum gaya
phir ghaur se dekha
are nahin
wo aaj ka aKHbar hi tha
larazte kanpte hathon se uTha liya
uThana to tha hi na
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.