aaj ka din
taak dhinnā-dhin
aaj kā din
kal se achchhā aaj kā din
aaj kā din jo aayā hai
sūraj ko bhī laayā hai
chuuñ chuuñ kartī chiḌiyā ne
nanhe-munne pañkh hilā.e
os kī nannhī būñdoñ ne
kaliyoñ ke chehre chamkā.e
jaage so.e rastoñ par
schōloñ ke bachche aa.e
uljhī suljhī galiyoñ meñ
sadā lagātā hawker jaa.e
taak dhinnā-dhin
aaj kā din
tak dhinna-dhin
aaj ka din
kal se achchha aaj ka din
aaj ka din jo aaya hai
suraj ko bhi laya hai
chun chun karti chiDiya ne
nanhe-munne pankh hilae
os ki nannhi bundon ne
kaliyon ke chehre chamkae
jage soe raston par
schoolon ke bachche aae
uljhi suljhi galiyon mein
sada lagata hawker jae
tak dhinna-dhin
aaj ka din
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.