aaj ke baad
aaj ke ba.ad agar jiinā hai
aaj kā sab kuchh taj denā hai
ek jhalak meñ
ek jhapak meñ
zaḳhmī chhalnī us paikar ko
apne lahū kī aag meñ
jal jaane do
gal jaane do
armānoñ se bāhar aao
apne-āp se aage baḌh jaao
sīmāoñ se paar utar kar
dekho
kaisī khulī fazā hai
har shai maiñ jaise
aane vaalī duniyāoñ kā biij chhupā hai
bījoñ se peḌ sunahre peḌ
peḌoñ ke har kholar meñ
panchhī anDe sete haiñ
anDoñ ke ḳhol se aane vaalī
be-āvāz suroñ kī guuñj suno
aur un se apne giit buno
aaj ke baad agar jina hai
aaj ka sab kuchh taj dena hai
ek jhalak mein
ek jhapak mein
zaKHmi chhalni us paikar ko
apne lahu ki aag mein
jal jaane do
gal jaane do
armanon se bahar aao
apne-ap se aage baDh jao
simaon se par utar kar
dekho
kaisi khuli faza hai
har shai main jaise
aane wali duniyaon ka bij chhupa hai
bijon se peD sunahre peD
peDon ke har kholar mein
panchhi anDe sete hain
anDon ke KHol se aane wali
be-awaz suron ki gunj suno
aur un se apne git buno
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.