Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aaj ke din

Basant Lakhnavi

aaj ke din

Basant Lakhnavi

MORE BYBasant Lakhnavi

    tāb-e-nazzāra kahāñ kis ko bhalā aaj ke din

    zarra-zarra huā ḳhurshīd-numā aaj ke din

    mast-o-sarshār chaman lāla-o-nargis shādāb

    jhuum kar chhā.ī hai gulshan pe ghaTā aaj ke din

    jaam par jaam chhalakne lage maiḳhāne meñ

    saath mai piite haiñ arbāb-e-vafā aaj ke din

    mehñdī hāthoñ meñ hinā pairahan-e-rangīñ meñ

    mah-vashoñ koī dekhe to adā aaj ke din

    dosto sidq-o-ahinsā ke usūloñ pe chalo

    chhoḌ do rasm-o-rah-e-jaur-o-jafā aaj ke din

    mutrib-e-vaqt se kah do koī naġhma chheḌe

    guuñj uThe saaz pe shā.ir navā aaj ke din

    zehn-o-bātin ko karo saaf zarā ham-vatano

    siikh lo rasm-e-vafā sidq-o-safā aaj ke din

    kaun bazm hai jis meñ nahīñ sāmān-e-tarab

    hai bashar kaun jo shādān na ho aaj ke din

    miT ga.ī tīra-shabī mehr-e-munavvar se 'basant'

    nuur nuur gulistāñ meñ huā aaj ke din

    tab-e-nazzara kahan kis ko bhala aaj ke din

    zarra-zarra hua KHurshid-numa aaj ke din

    mast-o-sarshaar chaman lala-o-nargis shadab

    jhum kar chhai hai gulshan pe ghaTa aaj ke din

    jam par jam chhalakne lage maiKHane mein

    sath mai pite hain arbab-e-wafa aaj ke din

    mehndi hathon mein hina pairahan-e-rangin mein

    mah-washon ki koi dekhe to ada aaj ke din

    dosto sidq-o-ahinsa ke usulon pe chalo

    chhoD do rasm-o-rah-e-jaur-o-jafa aaj ke din

    mutrib-e-waqt se kah do koi naghma chheDe

    gunj uThe saz pe shair ki nawa aaj ke din

    zehn-o-baatin ko karo saf zara ham-watano

    sikh lo rasm-e-wafa sidq-o-safa aaj ke din

    kaun si bazm hai jis mein nahin saman-e-tarab

    hai bashar kaun jo shadan na ho aaj ke din

    miT gai tira-shabi mehr-e-munawwar se 'basant'

    nur hi nur gulistan mein hua aaj ke din

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now