aaj ki aurat
mujhe dekho
mujhe socho
mujhe samjho
mirī bebāk nazroñ kī tahoñ meñ koī majbūrī nahīñ hai
mirā idrāk hai jo mujh ko mere
ḳhair pe hone kī masnad par biThātā hai
mujhe ye ilm hai ki maiñ
ujāloñ kī tarah se phail jaatī huuñ
haqīqat roz-e-raushan hai
jahāñ har ik chamaktī ret paanī ban nahīñ saktī
haqīqat apnī fitrat meñ kahānī ban nahīñ saktī
mirī bebāk-nazarī kā ġhalat matlab na le lenā
mujhe bahrūp bharne kī adā aatī nahīñ hai
mujhe ghuT ghuT ke jiine kī adā aatī nahīñ hai
mirā idrāk hai jo mujh ko mere ḳhair par hone kī masnad par biThātā hai
maiñ aisī huuñ dikhānā chāhtī huuñ
maiñ kaisī huuñ batānā chāhtī huuñ
mujhe dekho
mujhe socho
mujhe samjho
maiñ aurat huuñ
haqīqat huuñ
mujhe dekho
mujhe socho
mujhe samjho
meri bebak nazron ki tahon mein koi majburi nahin hai
mera idrak hai jo mujh ko mere
KHair pe hone ki masnad par biThata hai
mujhe ye ilm hai ki main
ujalon ki tarah se phail jati hun
haqiqat roz-e-raushan hai
jahan har ek chamakti ret pani ban nahin sakti
haqiqat apni fitrat mein kahani ban nahin sakti
meri bebak-nazari ka ghalat matlab na le lena
mujhe bahrup bharne ki ada aati nahin hai
mujhe ghuT ghuT ke jine ki ada aati nahin hai
mera idrak hai jo mujh ko mere KHair par hone ki masnad par biThata hai
main aisi hun dikhana chahti hun
main kaisi hun batana chahti hun
mujhe dekho
mujhe socho
mujhe samjho
main aurat hun
haqiqat hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.