aaj ki baat
shāyad kal phir yaad na aa.e
aaj ke saada varaq pe likh deñ
yuuñ bhī kal baasī hotī hai
bārish ke paanī meñ chiḌiyā
apne nanhe par dhotī hai
dekhne vāloñ kī nazroñ meñ
vo ik achchhā sā motī hai
lekin jaane kyā khotī hai
raat Dhale jab ghar lauTe to
der talak vo rotī hai
shayad kal phir yaad na aae
aaj ke sada waraq pe likh den
yun bhi kal basi hoti hai
barish ke pani mein chiDiya
apne nanhe par dhoti hai
dekhne walon ki nazron mein
wo ek achchha sa moti hai
lekin jaane kya khoti hai
raat Dhale jab ghar lauTe to
der talak wo roti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.