aaj ki baat
aaj kī baat na.ī baat nahīñ hai aisī
jab kabhī dil se koī guzrā hai yaad aa.ī hai
sirf dil hī ne nahīñ god meñ ḳhāmoshī kī
pyaar kī baat to har lamhe ne dohrā.ī hai
chupke chupke hī chaTakne do ishāroñ ke gulāb
dhīme dhīme hī sulagne do taqāzoñ ke alāv!
rafta rafta hī chhalakne do adāoñ kī sharāb
dhīre dhīre hī nigāhoñ ke ḳhazāne bikhrāo
baat achchhī ho to sab yaad kiyā karte haiñ
kaam suljhā ho to rah rah ke ḳhayāl aatā hai
dard mīThā ho to ruk ruk ke kasak hotī hai
yaad gahrī ho to tham tham ke qarār aatā hai
dil guzargāh hai āhista-ḳhirāmī ke liye
tez-gāmī ko jo apnāo to kho jāoge
ik zarā der hī palkoñ ko jhapak lene do
is qadar ġhaur se dekhoge to so jāoge
aaj ki baat nai baat nahin hai aisi
jab kabhi dil se koi guzra hai yaad aai hai
sirf dil hi ne nahin god mein KHamoshi ki
pyar ki baat to har lamhe ne dohrai hai
chupke chupke hi chaTakne do ishaaron ke gulab
dhime dhime hi sulagne do taqazon ke alaw!
rafta rafta hi chhalakne do adaon ki sharab
dhire dhire hi nigahon ke KHazane bikhrao
baat achchhi ho to sab yaad kiya karte hain
kaam suljha ho to rah rah ke KHayal aata hai
dard miTha ho to ruk ruk ke kasak hoti hai
yaad gahri ho to tham tham ke qarar aata hai
dil guzargah hai aahista-KHirami ke liye
tez-gami ko jo apnao to kho jaoge
ek zara der hi palkon ko jhapak lene do
is qadar ghaur se dekhoge to so jaoge
- Book : sham ka pahla tara (Pg. 106)
- Author : Zehra Nigah
- Edition : 1980
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.