aaj ki baaten kal ke sapne
jab bhī tanhā mujhe paate haiñ guzarte lamhe
terī tasvīr sī rāhoñ meñ bichhā jaate haiñ
maiñ ki rāhoñ meñ bhaTaktā hī chalā jaatā huuñ
mujh ko ḳhud merī nigāhoñ se chhupā jaate haiñ
mere bechain ḳhayāloñ pe ubharne vaalī
apne ḳhvāboñ se na bahlā merī tanhā.ī ko
jab tirī saañs mirī saañs meñ tahlīl nahīñ
kyā kareñgī mirī bāñheñ terī añgḌā.ī ko
jab ḳhayāloñ meñ tire jism ko chhū letā huuñ
zindagī sho.ala-e-māzī se jhulas jaatī hai
jab guzarnā huuñ ġham-e-hāl ke vīrāne se
mere ehsās kī nāgin mujhe Das jaatī hai
ham-safar tujh ko kahūñ yā tujhe rahzan samjhūñ
raah meñ lā ke mujhe chhoḌ diyā hai tū ne
ek vo din ki tirā pyaar basā thā dil meñ
ek ye vaqt ki dil toḌ diyā hai tū ne
maazī o haal kī tafrīq vo qurbat ye firāq
pyaar gulshan se chalā aayā hai zindānoñ meñ
be-zarī apnī sadāqat ko parakhtī hī rahī
tal gayā husn zar-o-sīm kī mīzānoñ meñ
ġhair se resham-o-kam-ḳhvāb kī rāhat pā kar
tū mujhe yaad bhī aa.egī to kyā aa.egī
ek mustaqbil-e-zarrīñ kī tijārat ke liye
tū mohabbat ke taqaddus ko bhī Thukrā.egī
aur maiñ pyaar kī taqdīs pe marne vaalā
dard ban kar tire ehsās meñ bas jā.ūñgā
vaqt aa.egā to iḳhlās kā bādal ban kar
terī jhulsī huī rātoñ pe baras jā.ūñgā
jab bhi tanha mujhe pate hain guzarte lamhe
teri taswir si rahon mein bichha jate hain
main ki rahon mein bhaTakta hi chala jata hun
mujh ko KHud meri nigahon se chhupa jate hain
mere bechain KHayalon pe ubharne wali
apne KHwabon se na bahla meri tanhai ko
jab teri sans meri sans mein tahlil nahin
kya karengi meri banhen teri angDai ko
jab KHayalon mein tere jism ko chhu leta hun
zindagi shoala-e-mazi se jhulas jati hai
jab guzarna hun gham-e-haal ke virane se
mere ehsas ki nagin mujhe Das jati hai
ham-safar tujh ko kahun ya tujhe rahzan samjhun
rah mein la ke mujhe chhoD diya hai tu ne
ek wo din ki tera pyar basa tha dil mein
ek ye waqt ki dil toD diya hai tu ne
mazi o haal ki tafriq wo qurbat ye firaq
pyar gulshan se chala aaya hai zindanon mein
be-zari apni sadaqat ko parakhti hi rahi
tal gaya husn zar-o-sim ki mizanon mein
ghair se resham-o-kam-KHwab ki rahat pa kar
tu mujhe yaad bhi aaegi to kya aaegi
ek mustaqbil-e-zarrin ki tijarat ke liye
tu mohabbat ke taqaddus ko bhi Thukraegi
aur main pyar ki taqdis pe marne wala
dard ban kar tere ehsas mein bas jaunga
waqt aaega to iKHlas ka baadal ban kar
teri jhulsi hui raaton pe baras jaunga
- Book : kalam-e-qateel shifai (Pg. 70)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.