aaj ki duniya
duniyā ko inqalāb kī yaad aa rahī hai aaj
tārīḳh apne aap ko dohrā rahī hai aaj
vo sar uThā.e mauj-e-fanā aa rahī hai aaj
mauj-e-hayāt maut se Takrā rahī hai aaj
kānoñ meñ zalzaloñ kī dhamak aa rahī hai aaj
har chiiz kā.enāt kī tharrā rahī hai aaj
jhapkā rahī hai der se āñkheñ havā-e-dahr
kaun-o-makāñ ko niiñd sī kuchh aa rahī hai aaj
har lafz ke ma.ānī-o-matlab badal chuke
har baat aur baat huī jā rahī hai aaj
yaksar jahān-e-husn bhī badlā huā sā hai
duniyā-e-ishq aur nazar aa rahī hai aaj
har har shikast-e-sāz meñ hai lahn-e-sarmadī
yā zindagī ke giit ajal gā rahī hai aaj
ye dāman-e-ajal hai ki tahrīk-e-ġhaib hai
kyā shai havā-e-dahr ko sankā rahī hai aaj
abnā-e-dahr lete haiñ yuuñ saañs garm-o-tez
jiine meñ jaise der huī jā rahī hai aaj
aflāk kī jabīñ bhī shikan-dar-shikan sī hai
tyorī zamīn kī bhī chaḌhī jā rahī hai aaj
phir chheḌtī hai maut hayāt-e-fasurda ko
phir ātish-e-ḳhamosh ko uksā rahī hai aaj
barham sā kuchh mizāj-e-anāsir hai in dinoñ
aur kuchh tabī.at apnī bhī ghabrā rahī hai aaj
ik mauj-e-dūd siine meñ larzāñ hai is tarah
nāgin sī jaise shīshe meñ lahrā rahī hai aaj
biite jugoñ kī chhāñv hai imroz par 'firāq'
har chiiz ik fasāna huī jā rahī hai aaj
duniya ko inqalab ki yaad aa rahi hai aaj
tariKH apne aap ko dohra rahi hai aaj
wo sar uThae mauj-e-fana aa rahi hai aaj
mauj-e-hayat maut se Takra rahi hai aaj
kanon mein zalzalon ki dhamak aa rahi hai aaj
har chiz kaenat ki tharra rahi hai aaj
jhapka rahi hai der se aankhen hawa-e-dahr
kaun-o-makan ko nind si kuchh aa rahi hai aaj
har lafz ke maani-o-matlab badal chuke
har baat aur baat hui ja rahi hai aaj
yaksar jahan-e-husn bhi badla hua sa hai
duniya-e-ishq aur nazar aa rahi hai aaj
har har shikast-e-saz mein hai lahn-e-sarmadi
ya zindagi ke git ajal ga rahi hai aaj
ye daman-e-ajal hai ki tahrik-e-ghaib hai
kya shai hawa-e-dahr ko sanka rahi hai aaj
abna-e-dahr lete hain yun sans garm-o-tez
jine mein jaise der hui ja rahi hai aaj
aflak ki jabin bhi shikan-dar-shikan si hai
tyori zamin ki bhi chaDhi ja rahi hai aaj
phir chheDti hai maut hayat-e-fasurda ko
phir aatish-e-KHamosh ko uksa rahi hai aaj
barham sa kuchh mizaj-e-anasir hai in dinon
aur kuchh tabiat apni bhi ghabra rahi hai aaj
ek mauj-e-dud sine mein larzan hai is tarah
nagin si jaise shishe mein lahra rahi hai aaj
bite jugon ki chhanw hai imroz par 'firaq'
har chiz ek fasana hui ja rahi hai aaj
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.