aaj ki raat
dekhnā jalva-e-jānāñ kā asar aaj kī raat
phuul hī phuul haiñ tā-hadd-e-nazar aaj kī raat
rā.egāñ jā na sakā aañkh se us kā bahnā
rang laayā hai mirā ḳhūn-e-jigar aaj kī raat
dāman-e-shauq ko thāme hue haiñ sharm-o-hayā
dil dhaḌaktā hai ba-andāz-e-digar aaj kī raat
husn-o-taqdīs kī dilchasp hikāyat paḌh kar
dhun rahā hai dil-e-hairat-zadā sar aaj kī raat
chāñd ik matl.a-e-anvār-e-daraḳhshāñ hī sahī
ek tasvīr hai hairat kī magar aaj kī raat
jalva-e-husn ke iḳhrāj kā aalam dekho
merī nazroñ meñ haiñ raqsāñ se sharar aaj kī raat
jazba-e-sharm ne chhiḌkāv kiyā shabnam kā
ruḳh-e-gulnār hai ik sho.ala-e-tar aaj kī raat
mai-e-ulfat kā chhalaktā huā paimāna hai
us kī sharmīlī sī tirchhī sī nazar aaj kī raat
ye duā-e-dil-e-ma.asūm ulūhī ho qubūl
tā-qayāmat rahe mahrūm sahar aaj kī raat
dekhna jalwa-e-jaanan ka asar aaj ki raat
phul hi phul hain ta-hadd-e-nazar aaj ki raat
raegan ja na saka aankh se us ka bahna
rang laya hai mera KHun-e-jigar aaj ki raat
daman-e-shauq ko thame hue hain sharm-o-haya
dil dhaDakta hai ba-andaz-e-digar aaj ki raat
husn-o-taqdis ki dilchasp hikayat paDh kar
dhun raha hai dil-e-hairat-zada sar aaj ki raat
chand ek matla-e-anwar-e-daraKHshan hi sahi
ek taswir hai hairat ki magar aaj ki raat
jalwa-e-husn ke iKHraj ka aalam dekho
meri nazron mein hain raqsan se sharar aaj ki raat
jazba-e-sharm ne chhiDkaw kiya shabnam ka
ruKH-e-gulnar hai ek shoala-e-tar aaj ki raat
mai-e-ulfat ka chhalakta hua paimana hai
us ki sharmili si tirchhi si nazar aaj ki raat
ye dua-e-dil-e-masum uluhi ho qubul
ta-qayamat rahe mahrum sahar aaj ki raat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.