aaj ki shab to kisi taur guzar jaegi
aaj kī shab to kisī taur guzar jā.egī
raat gahrī hai magar chāñd chamaktā hai abhī
mere māthe pe tirā pyaar damaktā hai abhī
merī sāñsoñ meñ tirā lams mahaktā hai abhī
mere siine meñ tirā naam dhaḌaktā hai abhī
ziist karne ko mire paas bahut kuchh hai abhī
terī āvāz kā jaadū hai abhī mere liye
tere malbūs kī ḳhushbū hai abhī mere liye
terī bāñheñ tirā pahlū hai abhī mere liye
sab se baḌh kar mirī jaañ tū hai abhī mere liye
ziist karne ko mire paas bahut kuchh hai abhī
aaj kī shab to kisī taur guzar jā.egī!
aaj ke ba.ad magar rañg-e-vafā kyā hogā
ishq hairāñ hai sar-e-shahr-e-sabā kyā hogā
mere qātil tirā andāz-e-jafā kyā hogā!
aaj kī shab to bahut kuchh hai magar kal ke liye
ek andesha-e-be-nām hai aur kuchh bhī nahīñ
dekhnā ye hai ki kal tujh se mulāqāt ke ba.ad
rañg-e-ummīd khilegā ki bikhar jā.egā
vaqt parvāz karegā ki Thahar jā.egā
jiit ho jā.egī yā khel bigaḌ jā.egā
ḳhvāb kā shahr rahegā ki ujaḌ jā.egā
aaj ki shab to kisi taur guzar jaegi
raat gahri hai magar chand chamakta hai abhi
mere mathe pe tera pyar damakta hai abhi
meri sanson mein tera lams mahakta hai abhi
mere sine mein tera nam dhaDakta hai abhi
zist karne ko mere pas bahut kuchh hai abhi
teri aawaz ka jadu hai abhi mere liye
tere malbus ki KHushbu hai abhi mere liye
teri banhen tera pahlu hai abhi mere liye
sab se baDh kar meri jaan tu hai abhi mere liye
zist karne ko mere pas bahut kuchh hai abhi
aaj ki shab to kisi taur guzar jaegi!
aaj ke baad magar rang-e-wafa kya hoga
ishq hairan hai sar-e-shahr-e-saba kya hoga
mere qatil tera andaz-e-jafa kya hoga!
aaj ki shab to bahut kuchh hai magar kal ke liye
ek andesha-e-be-nam hai aur kuchh bhi nahin
dekhna ye hai ki kal tujh se mulaqat ke baad
rang-e-ummid khilega ki bikhar jaega
waqt parwaz karega ki Thahar jaega
jit ho jaegi ya khel bigaD jaega
KHwab ka shahr rahega ki ujaD jaega
- Book : kulliyaat-e-maahe tamaam(khushbo) (Pg. 105)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.