aaj phir dard uTha
aaj phir dard uThā dil ke nihāñ ḳhāne meñ
aaj phir log satāne ko chale ā.eñge
aaj phir karb ke sho.aloñ ko havā dūñgā maiñ
aur kuchh log bujhāne ko chale ā.eñge
aag se aag bujhī hai na bujhegī lekin
dard ko aag ke dariyā meñ utarnā hogā
aag aur dard ke me.aar parakhne ke liye
in añdheroñ kī fasīloñ se guzarnā hogā
maiñ añdheroñ kī rifāqat se nahīñ huuñ bezār
shām-e-tanhā.ī añdherā bhī bhalā lagtā hai
haif sad haif ki munkir thā zamāna jis kā
aaj vo jurm makānoñ meñ huā lagtā hai
laakh kamre ko TaTolā bhī magar kuchh na milā
farsh par ḳhuun kī do-chār lakīroñ ke sivā
jañg aur zulm ke asrār nihāñ ai zindāñ
jaan pā.egā bhalā kaun asīroñ ke sivā
dard dil hai ki bhaTaktī huī rūhoñ kā jalāl
qatl ho kar bhī dhaḌaktā hai jo vīrānoñ meñ
maiñ sulagtā hī rahā aur vo andāz-e-junūñ
chhup gayā aag lagā kar mire armānoñ meñ
aaj phir dard uTha dil ke nihan KHane mein
aaj phir log satane ko chale aaenge
aaj phir karb ke shoalon ko hawa dunga main
aur kuchh log bujhane ko chale aaenge
aag se aag bujhi hai na bujhegi lekin
dard ko aag ke dariya mein utarna hoga
aag aur dard ke mear parakhne ke liye
in andheron ki fasilon se guzarna hoga
main andheron ki rifaqat se nahin hun bezar
sham-e-tanhai andhera bhi bhala lagta hai
haif sad haif ki munkir tha zamana jis ka
aaj wo jurm makanon mein hua lagta hai
lakh kamre ko TaTola bhi magar kuchh na mila
farsh par KHun ki do-chaar lakiron ke siwa
jang aur zulm ke asrar nihan ai zindan
jaan paega bhala kaun asiron ke siwa
dard dil hai ki bhaTakti hui ruhon ka jalal
qatl ho kar bhi dhaDakta hai jo viranon mein
main sulagta hi raha aur wo andaz-e-junun
chhup gaya aag laga kar mere armanon mein
- Book : Shoalon Ka Shajar (Pg. 46)
- Author : Chander Bhan Khayal
- Publication : Sutoor Parkashan (1969)
- Edition : 1969
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.