aaj shab koi nahin hai
aaj shab dil ke qarīñ koī nahīñ hai
aañkh se duur tilismāt ke dar vā haiñ ka.ī
ḳhvāb-dar-ḳhvāb mahallāt ke dar vā haiñ ka.ī
aur makīñ koī nahīñ hai,
aaj shab dil ke qarīñ koī nahīñ hai
koī naġhma, koī ḳhushbū, koī kāfir-sūrat
koī ummīd, koī aas musāfir-sūrat
koī ġham, koī kasak, koī shak, koī yaqīñ
koī nahīñ hai
aaj shab dil ke qarīñ koī nahīñ hai
tum agar ho, to mire paas ho yā duur ho tum
har ghaḌī sāya-gar-e-ḳhātir-e-ranjūr ho tum
aur nahīñ ho to kahīñ.. koī nahīñ, koī nahīñ hai
aaj shab dil ke qarīñ koī nahīñ hai
Tonight There Is No One
aaj shab dil ke qarin koi nahin hai
aankh se dur tilismat ke dar wa hain kai
KHwab-dar-KHwab mahallat ke dar wa hain kai
aur makin koi nahin hai,
aaj shab dil ke qarin koi nahin hai
koi naghma, koi KHushbu, koi kafir-surat
koi ummid, koi aas musafir-surat
koi gham, koi kasak, koi shak, koi yaqin
koi nahin hai
aaj shab dil ke qarin koi nahin hai
tum agar ho, to mere pas ho ya dur ho tum
har ghaDi saya-gar-e-KHatir-e-ranjur ho tum
aur nahin ho to kahin koi nahin, koi nahin hai
aaj shab dil ke qarin koi nahin hai
Tonight There Is No One
- Book : Nuskha Hai Wafa (Kulliyat-e-Faiz) (Pg. 712)
- Publication : Educational Publishing House (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.