aaKHirash
haañ havā bhī gulābī hai ab
aur mausam bhī kuchh Thaharne sā lagā hai
dhuñdalke bhī kuchh aur gahrā ga.e haiñ
kitāboñ ke aurāq majrūh hone lage haiñ
lamp kī raushnī tez talvār hai
os meñ bhīgtī raat
aur umr meñ mujh se duunā baḌā radio
chhipkalī kā vo joḌā
nikal aayā tasvīr ke pīchhe apne makāñ se
raat kaT kaT ke girne lagī āsmāñ se
phir mirī samt baḌhne lagā
tere ma.asūm ḳhvāboñ kā dast-e-talab
haañ havā bhī gulābī hai ab
han hawa bhi gulabi hai ab
aur mausam bhi kuchh Thaharne sa laga hai
dhundalke bhi kuchh aur gahra gae hain
kitabon ke auraq majruh hone lage hain
lamp ki raushni tez talwar hai
os mein bhigti raat
aur umr mein mujh se duna baDa radio
chhipkali ka wo joDa
nikal aaya taswir ke pichhe apne makan se
raat kaT kaT ke girne lagi aasman se
phir meri samt baDhne laga
tere masum KHwabon ka dast-e-talab
han hawa bhi gulabi hai ab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.