aaKHiri bar milo
āḳhirī baar milo aise ki jalte hue dil
raakh ho jaa.eñ koī aur taqāza na kareñ
chāk-e-va.ada na sile zaḳhm-e-tamannā na khile
saañs hamvār rahe sham.a kī lau tak na hile
bāteñ bas itnī ki lamhe unheñ aa kar gin jaa.eñ
aañkh uThā.e koī ummīd to āñkheñ chhin jaa.eñ
is mulāqāt kā is baar koī vahm nahīñ
jis se ik aur mulāqāt kī sūrat nikle
ab na haijān o junūñ kā na hikāyāt kā vaqt
ab na tajdīd-e-vafā kā na shikāyāt kā vaqt
luT ga.ī shahr-e-havādis meñ matā-e-alfāz
ab jo kahnā hai to kaise koī nauha kahiye
aaj tak tum se rag-e-jāñ ke ka.ī rishte the
kal se jo hogā use kaun sā rishta kahiye
phir na dahkeñge kabhī āriz-o-ruḳhsār milo
mātamī haiñ dam-e-ruḳhsat dar-o-dīvār milo
phir na ham hoñge na iqrār na inkār milo
āḳhirī baar milo
aaKHiri bar milo aise ki jalte hue dil
rakh ho jaen koi aur taqaza na karen
chaak-e-wada na sile zaKHm-e-tamanna na khile
sans hamwar rahe shama ki lau tak na hile
baaten bas itni ki lamhe unhen aa kar gin jaen
aankh uThae koi ummid to aankhen chhin jaen
is mulaqat ka is bar koi wahm nahin
jis se ek aur mulaqat ki surat nikle
ab na haijaan o junun ka na hikayat ka waqt
ab na tajdid-e-wafa ka na shikayat ka waqt
luT gai shahr-e-hawadis mein mata-e-alfaz
ab jo kahna hai to kaise koi nauha kahiye
aaj tak tum se rag-e-jaan ke kai rishte the
kal se jo hoga use kaun sa rishta kahiye
phir na dahkenge kabhi aariz-o-ruKHsar milo
matami hain dam-e-ruKHsat dar-o-diwar milo
phir na hum honge na iqrar na inkar milo
aaKHiri bar milo
- Book : kulliyat-e-mustafa zaidii(koh-e-nida) (Pg. 19)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.