aaKHiri bosa
mire hoñToñ pe us ke āḳhirī bose kī lazzat sabt hai
vo us kā āḳhirī bosa
jo mustaqbil ke har ik ḳhauf se āzād
ik raushan sitārā thā
guzartī raat ke nañge badan par til kī sūrat qā.em-o-dā.em
hamesha jāgne vaalā sitārā
maiñ jise is aag barsāte hue sūraj ke aage
jagmagātā dekh saktā huuñ
vo us kā āḳhirī bosa
jo is nafrat-bharī duniyā meñ
ik ḳhushbū kā jhoñkā thā
bikhartī pattiyoñ meñ mausam-e-gul ke ishāre kī tarah
ik Doltī ḳhushbū kā jhoñkā
maiñ jise is habs ke kaale qafas kī tīliyoñ se muskurātā dekh saktā huuñ
vo us kā āḳhirī bosa
jo in martī huī sadiyoñ meñ
ik be-ant lamha thā
talātum meñ kisī sāhil kī pahlī diid sā
anmol aur be-ant lamha
meñ jise ashkoñ kī is dīvār meñ
raḳhne banātā dekh saktā huuñ
mire hoñToñ pe us ke āḳhirī bose kī lazzat sabt hai
vo us kā āḳhirī bosa jo maiñ apne badan meñ
sāñs-sūrat aatā jaatā dekh saktā huuñ
lahū kī ḳhāmushī meñ sarsarātā dekh saktā huuñ
mere honTon pe us ke aaKHiri bose ki lazzat sabt hai
wo us ka aaKHiri bosa
jo mustaqbil ke har ek KHauf se aazad
ek raushan sitara tha
guzarti raat ke nange badan par til ki surat qaem-o-daem
hamesha jagne wala sitara
main jise is aag barsate hue suraj ke aage
jagmagata dekh sakta hun
wo us ka aaKHiri bosa
jo is nafrat-bhari duniya mein
ek KHushbu ka jhonka tha
bikharti pattiyon mein mausam-e-gul ke ishaare ki tarah
ek Dolti KHushbu ka jhonka
main jise is habs ke kale qafas ki tiliyon se muskuraata dekh sakta hun
wo us ka aaKHiri bosa
jo in marti hui sadiyon mein
ek be-ant lamha tha
talatum mein kisi sahil ki pahli did sa
anmol aur be-ant lamha
mein jise ashkon ki is diwar mein
raKHne banata dekh sakta hun
mere honTon pe us ke aaKHiri bose ki lazzat sabt hai
wo us ka aaKHiri bosa jo main apne badan mein
sans-surat aata jata dekh sakta hun
lahu ki KHamushi mein sarsaraata dekh sakta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.