aaKHiri bus
āḳhirī bas
tairtī sī jā rahī hai
shab kī farsh-e-marmarīñ par
shabnam-āgīñ dhund kī niilī guphā meñ
bas ke andar har koī baiThā hai
apnā sar jhukā.e
ḳhastagī din kī chabā.e
kyā huī ik dūsre se baat karne kī
vo rāhat vo masarrat
aaj duniyā āḳhirī bas kī tarah mahv-e-safar hai
sab musāfir
qurb ke ehsās se nā-āshnā baiThe hue haiñ
ab kisī ko ajnabī honā burā lagtā nahīñ hai
aaKHiri bas
tairti si ja rahi hai
shab ki farsh-e-marmarin par
shabnam-agin dhund ki nili gupha mein
bas ke andar har koi baiTha hai
apna sar jhukae
KHastagi din ki chabae
kya hui ek dusre se baat karne ki
wo rahat wo masarrat
aaj duniya aaKHiri bas ki tarah mahw-e-safar hai
sab musafir
qurb ke ehsas se na-ashna baiThe hue hain
ab kisi ko ajnabi hona bura lagta nahin hai
- Book : Kulliyat-e-bani (Pg. 115)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.