Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aaKHiri din nazdik hai

Saeed Arifi

aaKHiri din nazdik hai

Saeed Arifi

MORE BYSaeed Arifi

    ye sote-jāgte lamhāt

    mujhe ab hālat-e-ehsās meñ rahne nahīñ dete

    har ik pal

    bojh lagtā hai

    ye jism apnā

    mujh tanhā.iyoñ ke har safar se

    ḳhauf aatā hai

    mujhe ye chāñdnī bhī ab

    bahut achchhī nahīñ lagtī

    kisī chehre pe

    vo surḳhī shafaq jaisī

    nahīñ miltī

    mujhe ma.asūm bachchoñ humaknā aur

    uchhalnā kūdnā

    kilkāriyāñ lenā

    bhī sab be-kaif lagtā hai

    ki

    ab ik dūsre ke ġham meñ bhī

    aañsū bahānā

    bhuul baiThe haiñ

    ki ab to sirf

    bārūdī dhamākoñ

    atomī ḳhatroñ bātoñ meñ

    bahut sāmān-e-sarshārī hai kyuuñ āḳhir

    ye kis manzil jānib gāmzan haiñ sab

    ye sote-jagte lamhat

    mujhe ab haalat-e-ehsas mein rahne nahin dete

    har ek pal

    bojh lagta hai

    ye jism apna

    mujh tanhaiyon ke har safar se

    KHauf aata hai

    mujhe ye chandni bhi ab

    bahut achchhi nahin lagti

    kisi chehre pe

    wo surKHi shafaq jaisi

    nahin milti

    mujhe masum bachchon ka humakna aur

    uchhalna kudna

    kilkariyan lena

    bhi sab be-kaif lagta hai

    ki

    ab ek dusre ke gham mein bhi

    aansu bahana

    bhul baiThe hain

    ki ab to sirf

    barudi dhamakon

    atomi KHatron ki baaton mein

    bahut saman-e-sarshaari hai kyun aaKHir

    ye kis manzil ki jaanib gamzan hain sab

    Source :
    • Book : Shahre be Chiragh Mein (Pg. 70)
    • Author : Saeed Arifi
    • Publication : Pahchan Publications (2000)
    • Edition : 2000
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now