aaKHiri faisla
kāñToñ kī chaTTān pe khaḌī
maiñ āñkhoñ kī sūiyāñ nikāl rahī huuñ
ye ilāqa kis saltanat meñ shāmil hai
mulūkiyat merī zabān pe kāñTe
halq meñ phandā
āñkheñ bāhar
shāh-balūt ke lambe daraḳhtoñ jaise
lambe puut bahut ho ga.e haiñ
jañgal meñ daraḳht ziyāda ho jaa.eñ
to aag lagā kar daraḳht kam kar diye jaate haiñ
bāhar niklī huī aañkh se za.afrān kā khet
aur kaTe hue bāzuoñ se ganne kī poriyāñ ban ga.ī haiñ
ham ne ek jhuuT bolā thā nā
ab saarī umr us ko sach sābit karne meñ guzār deñge
ham ki jo zindagī bhar
apne hisse kī roTī kamāne kī koshish karte haiñ
aur bhūke rahte haiñ
jhūTī aas kī chhatrī tale
bulbule jaise aañsū
batāshoñ kī tarah thaal meñ sajā.e
kab tak batlātī rahogī
ki vo tumhārā qātil nahīñ hai
qatl mahz sāniye meñ
zindagī kā rishta ḳhatm karne kā naam nahīñ
maujūd se inkār bhī
to qatl ke mutarādif hotā hai
merā jī kartā hai
vo jo sab mere qātil haiñ
maiñ unheñ havā kī tarah nigal jā.ūñ
kanTon ki chaTTan pe khaDi
main aankhon ki suiyan nikal rahi hun
ye ilaqa kis saltanat mein shamil hai
mulukiyat meri zaban pe kanTe
halq mein phanda
aankhen bahar
shah-balut ke lambe daraKHton jaise
lambe put bahut ho gae hain
jangal mein daraKHt ziyaada ho jaen
to aag laga kar daraKHt kam kar diye jate hain
bahar nikli hui aankh se zafran ka khet
aur kaTe hue bazuon se ganne ki poriyan ban gai hain
hum ne ek jhuT bola tha na
ab sari umr us ko sach sabit karne mein guzar denge
hum ki jo zindagi bhar
apne hisse ki roTi kamane ki koshish karte hain
aur bhuke rahte hain
jhuTi aas ki chhatri tale
bulbule jaise aansu
batashon ki tarah thaal mein sajae
kab tak batlati rahogi
ki wo tumhaara qatil nahin hai
qatl mahz saniye mein
zindagi ka rishta KHatm karne ka nam nahin
maujud se inkar bhi
to qatl ke mutaradif hota hai
mera ji karta hai
wo jo sab mere qatil hain
main unhen hawa ki tarah nigal jaun
- Book : kulliyat dusht-e-qais main laila (Pg. 755)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.