aaKHiri harba
in dinoñ mere andar ghamsān kā ran paḌ rahā hai
apne ḳhilāf apnā hī difā.a kar rahā huuñ
jañg meñ har harba jaa.ez hotā hai
maiñ ne ek bahādur kī mānind
ochhā hathiyār istimāl na karne kā faisla kiyā thā
lekin jūñhī mere gird hisār tañg hone lagtā hai
merī zirah-baktar ke halqe TūTne lagte haiñ
aur bachāo ke har rāste par
TikTikī dikhā.ī detī hai
to maiñ koī na koī ochhā hathiyār
istimāl karne par majbūr ho jaatā huuñ
kisī sarkash ḳhayāl ke peT meñ
chupke se ḳhanjar utaar detā huuñ
kisī gustāḳh jazbe ko
mufāhamat ke bahāne bulā kar
dīvār meñ chun detā huuñ
maiñ jāntā huuñ
mere difā.a meñ
shigāf paḌ chuke haiñ
lekin merā irāda
āḳhir tak DaTe rahne kā hai
phir tamām rāheñ masdūd pā kar
āḳhirī harba istimāl karūñgā
apnī maut kā elaan is tarah karūñgā
jaise maiñ nahīñ
merā dushman marā ho
in dinon mere andar ghamsan ka ran paD raha hai
apne KHilaf apna hi difaa kar raha hun
jang mein har harba jaez hota hai
main ne ek bahadur ki manind
ochha hathiyar istimal na karne ka faisla kiya tha
lekin junhi mere gird hisar tang hone lagta hai
meri zirah-baktar ke halqe TuTne lagte hain
aur bachao ke har raste par
TikTiki dikhai deti hai
to main koi na koi ochha hathiyar
istimal karne par majbur ho jata hun
kisi sarkash KHayal ke peT mein
chupke se KHanjar utar deta hun
kisi gustaKH jazbe ko
mufahamat ke bahane bula kar
diwar mein chun deta hun
main jaanta hun
mere difaa mein
shigaf paD chuke hain
lekin mera irada
aaKHir tak DaTe rahne ka hai
phir tamam rahen masdud pa kar
aaKHiri harba istimal karunga
apni maut ka elan is tarah karunga
jaise main nahin
mera dushman mara ho
- Book : Ishq e Tamam (Pg. 148)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.