aaKHiri KHat
vo vaqt mirī jaan bahut duur nahīñ hai
jab dard se ruk jā.eñgī sab ziist kī rāheñ
aur had se guzar jā.egā andoh-e-nihānī
thak jā.eñgī tarsī huī nākām nigāheñ
chhin jā.eñge mujh se mire aañsū mirī aaheñ
chhin jā.egī mujh se mirī be-kār javānī
shāyad mirī ulfat ko bahut yaad karogī
apne dil-e-māsūm ko nāshād karogī
aaogī mirī gor pe tum ashk bahāne
nau-ḳhez bahāroñ ke hasīñ phuul chaḌhāne
shāyad mirī turbat ko bhī Thukrā ke chalogī
shāyad mirī be-sūd vafāoñ pe hañsogī
is vaz-e-karam kā bhī tumheñ paas na hogā
lekin dil-e-nākām ko ehsās na hogā
al-qissa ma.āl-e-ġham-e-ulfat pe hañso tum
yā ashk bahātī raho fariyād karo tum
maazī pe nadāmat ho tumheñ yā ki masarrat
ḳhāmosh paḌā so.egā vāmāñda-e-ulfat
wo waqt meri jaan bahut dur nahin hai
jab dard se ruk jaengi sab zist ki rahen
aur had se guzar jaega andoh-e-nihani
thak jaengi tarsi hui nakaam nigahen
chhin jaenge mujh se mere aansu meri aahen
chhin jaegi mujh se meri be-kar jawani
shayad meri ulfat ko bahut yaad karogi
apne dil-e-masum ko nashad karogi
aaogi meri gor pe tum ashk bahane
nau-KHez bahaaron ke hasin phul chaDhane
shayad meri turbat ko bhi Thukra ke chalogi
shayad meri be-sud wafaon pe hansogi
is waz-e-karam ka bhi tumhein pas na hoga
lekin dil-e-nakaam ko ehsas na hoga
al-qissa maal-e-gham-e-ulfat pe hanso tum
ya ashk bahati raho fariyaad karo tum
mazi pe nadamat ho tumhein ya ki masarrat
KHamosh paDa soega wamanda-e-ulfat
- Book : Nuskha Hai Wafa (Kulliyat-e-Faiz) (Pg. 28)
- Publication : Educational Publishing House (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.