aaKHiri KHwahish
aaj to mere kapḌe bhī paanī kī tarah bhārī haiñ
maut kā kājal āñkhoñ meñ lagānā
aur āñkhoñ meñ paTTī bāñdh kar taar pe cycle chalānā
ek jaisā amal hai
zinda rahne kā amal
murda zindagī kī daryūzgī se
añgūr kī tarah rañg badal kar do-ātisha honā
pighlī huī mom-battī kī raushnī ke āḳhirī vaar
kī tarah kaarī hotā hai
billī apne shikār se
pahle kheltī hai phir khātī hai
aaj jab ki mere kapḌe paanī kī tarah bhārī haiñ
merī bintī suno
mujh se khelnā band kar do
mujhe khā jaao
aaj to mere kapDe bhi pani ki tarah bhaari hain
maut ka kajal aankhon mein lagana
aur aankhon mein paTTi bandh kar tar pe cycle chalana
ek jaisa amal hai
zinda rahne ka amal
murda zindagi ki daryuzgi se
angur ki tarah rang badal kar do-atisha hona
pighli hui mom-batti ki raushni ke aaKHiri war
ki tarah kari hota hai
billi apne shikar se
pahle khelti hai phir khati hai
aaj jab ki mere kapDe pani ki tarah bhaari hain
meri binti suno
mujh se khelna band kar do
mujhe kha jao
- Book : kulliyat dusht-e-qais main laila (Pg. 523)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.