Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aaKHiri lafz pahli aawaz

Sulaiman Areeb

aaKHiri lafz pahli aawaz

Sulaiman Areeb

MORE BYSulaiman Areeb

    kin harfoñ meñ jaan hai merī

    kin lafzoñ par dam niklegā

    soch rahā huuñ

    abjad saarī yaad hai mujh ko

    lekin is se kyā hotā hai

    ab to kisī bhī harf chehra yuuñ lagtā hai

    jaise vo āvāz ho us pahle insāñ

    jo ḳhud ko sāyoñ ke jahāñ meñ tanhā kar chīḳh paḌā ho

    aur us āvāz gale meñ ghuT kar

    kuchh niklī

    aur is se pahle ki kuchh nikle

    naam bane

    sannāTe meñ Duub ga.ī ho

    kin harfon mein jaan hai meri

    kin lafzon par dam niklega

    soch raha hun

    abjad sari yaad hai mujh ko

    lekin is se kya hota hai

    ab to kisi bhi harf ka chehra yun lagta hai

    jaise wo aawaz ho us pahle insan ki

    jo KHud ko sayon ke jahan mein tanha pa kar chiKH paDa ho

    aur us ki aawaz gale mein ghuT kar

    kuchh nikli

    aur is se pahle ki kuchh nikle

    nam bane

    sannaTe mein Dub gai ho

    Source :
    • Book : shab-khoon(shumara-number-41) (Pg. 18)
    • Edition : 1969
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now