aaKHiri mukalima
le jaao daraḳhtoñ ko le jaao
mere kis kaam ke ye daraḳht
le jaao
maiñ to mar rahā huuñ
mere saath jaane vaale
kuchh hī log to haiñ
maiñ ne baat kī in rāstoñ se
ki jo rāste nahīñ the
phir maiñ nadī meñ Duub gayā
mujhe nahīñ ma.alūm thā ki mujhe is tarah
aarī se kaaT diyā jā.egā
ki daraḳhtoñ meñ bhī
merā shumār nahīñ hogā
maiñ niiñd ke āḳhirī hisse meñ khaḌā huuñ
ek mazdūr
belche se merī tasvīr banā rahā hai
raat guzar rahī hai
ki us ke guzarne se pahle bhī
ek raat guzar chukī hai
maiñ bhalā kis raat kā hisāb duuñ
mujhe mārne vāloñ meñ
merā lahū bhī shāmil hogā
ye mujhe ma.alūm nahīñ thā
maiñ mar rahā huuñ
ki mujhe mārne vaalī zaat
merī riiḌh kī haDDī se
kalām kar chukī hai
us ne mujhe baTan Tāñkne vaalī ma.amūlī suī se chhed ke
jāñkanī se guzār diyā hai
magar us se pahle
mujh se ye bhī nahīñ pūchhā
ki maiñ kisī jahān meñ
zinda thā bhī yā nahīñ
qadīm kāñsī ke bartanoñ
mere naam par bahā.e hue
āñsuoñ kā ek ḳhazāna to mahfūz hai
aur is ḳhazāne hī par to maiñ ne isrār kiyā
kyūñki maiñ jāntā huuñ
ki ye duniyā
keval ek chintā ghar hai
is meñ hazāroñ saal se rahne vaale ko bhī
rahne ke liye
ek pal bhī mayassar nahīñ
kyūñki ik ik pal kā
daam chukānā paḌtā hai
pahāḌ ek zarre ke hāthoñ
bik jaatā hai
maiñ mar rahā huuñ
magar is se pahle
maiñ ne ek iltijā kī hai
ki mujhe ik ik pal kā
daam chukā ke marne diyā jaa.e
mere naam ke
an-ginat naam darj haiñ
Thiik hai
mere vo tamām alfāz hī to
akārat ga.e nā
jo mahz ek jhuuT ke naam
likhe ga.e
magar ab kuchh jānñe ke liye
rah kyā gayā hai
ki agar merā sach itnā baḌā thā
tū use chhoTā karne ke liye
syāhī se bharī davāt
qalam-dān se pare
kyuuñ ulaT dī ga.ī
maiñ mar rahā huuñ
magar mujhe ik ik pal kā
daam chukā ke marne diyā jaa.e
aur ek daraḳht bhī
bach gayā hai
to le jaao ise le jaao
le jao daraKHton ko le jao
mere kis kaam ke ye daraKHt
le jao
main to mar raha hun
mere sath jaane wale
kuchh hi log to hain
main ne baat ki in raston se
ki jo raste nahin the
phir main nadi mein Dub gaya
mujhe nahin malum tha ki mujhe is tarah
aari se kaT diya jaega
ki daraKHton mein bhi
mera shumar nahin hoga
main nind ke aaKHiri hisse mein khaDa hun
ek mazdur
belche se meri taswir bana raha hai
raat guzar rahi hai
ki us ke guzarne se pahle bhi
ek raat guzar chuki hai
main bhala kis raat ka hisab dun
mujhe marne walon mein
mera lahu bhi shamil hoga
ye mujhe malum nahin tha
main mar raha hun
ki mujhe marne wali zat
meri riDh ki haDDi se
kalam kar chuki hai
us ne mujhe baTan Tankne wali mamuli sui se chhed ke
jaankani se guzar diya hai
magar us se pahle
mujh se ye bhi nahin puchha
ki main kisi jahan mein
zinda tha bhi ya nahin
qadim kansi ke bartanon
mere nam par bahae hue
aansuon ka ek KHazana to mahfuz hai
aur is KHazane hi par to main ne israr kiya
kyunki main jaanta hun
ki ye duniya
kewal ek chinta ghar hai
is mein hazaron sal se rahne wale ko bhi
rahne ke liye
ek pal bhi mayassar nahin
kyunki ek ek pal ka
dam chukana paDta hai
pahaD ek zarre ke hathon
bik jata hai
main mar raha hun
magar is se pahle
main ne ek iltija ki hai
ki mujhe ek ek pal ka
dam chuka ke marne diya jae
mere nam ke
an-ginat nam darj hain
Thik hai
mere wo tamam alfaz hi to
akarat gae na
jo mahz ek jhuT ke nam
likhe gae
magar ab kuchh jaanne ke liye
rah kya gaya hai
ki agar mera sach itna baDa tha
tu use chhoTa karne ke liye
syahi se bhari dawat
qalam-dan se pare
kyun ulaT di gai
main mar raha hun
magar mujhe ek ek pal ka
dam chuka ke marne diya jae
aur ek daraKHt bhi
bach gaya hai
to le jao ise le jao
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.