aaKHiri mulaqat
mat roko inheƱ paas aane do
ye mujh se milne aa.e haiƱ
maiƱ įø³hud na jinheƱ pahchÄn sakūñ
kuchh itne dhuƱdle saa.e haiƱ
do paaƱv bane hariyÄlÄ« par
ek titlī baiThī Daalī par
kuchh jagmag jugnū jañgal se
kuchh jhÅ«mte hÄthÄ« bÄdal se
ye ek kahÄnÄ« niiƱd bharÄ«
ik taḳht pe baiThī ek parī
kuchh gin gin karte parvÄne
do nanhe nanhe dastÄne
kuchh uįøte raƱgīƱ Ä”hubÄre
babbū ke dupaTTe ke taare
ye chehra banno bÅ«įøhÄ« kÄ
ye TukįøÄ maaƱ kÄ« chÅ«įøÄ« kÄ
ye mujh se milne aa.e haiƱ
maiƱ įø³hud na jinheƱ pahchÄn sakūñ
kuchh itne dhuƱdle saa.e haiƱ
lasÄ.Ä« huÄ« rut sÄvan kÄ«
kuchh sauƱdhÄ« įø³hushbÅ« ÄƱgan kÄ«
kuchh TuuTī rassī jhūle kī
ik choT kasaktī kūlhe kī
sulgÄ« sÄ« aƱgÄ«ThÄ« jÄįøoƱ meƱ
ik chehra kitnÄ« aaįøoƱ meƱ
kuchh chÄƱdnÄ« rÄteƱ garmÄ« kÄ«
ik lab par bÄteƱ narmÄ« kÄ«
kuchh ruup hasīƱ kÄshÄnoƱ kÄ
kuchh raƱg hare maidÄnoƱ kÄ
kuchh haar mahaktī kaliyoƱ ke
kuchh naam vatan kī galiyoƱ ke
mat roko inheƱ paas aane do
ye mujh se milne aa.e haiƱ
maiƱ įø³hud na jinheƱ pahchÄn sakūñ
kuchh itne dhuƱdle saa.e haiƱ
kuchh chÄƱd chamakte gÄloƱ ke
kuchh bhaƱvre kaale bÄloƱ ke
kuchh nÄzuk shikneƱ ÄƱchal kÄ«
kuchh narm lakÄ«reƱ kÄjal kÄ«
ik khoÄ« kaįøÄ« afsÄnoƱ kÄ«
do ÄƱkheƱ raushan-dÄnoƱ kÄ«
ik surįø³h dulÄ.Ä« goT lagÄ«
kyÄ jaane kab kÄ« choT lagÄ«
ik chhallÄ phÄ«kÄ« raƱgat kÄ
ik loket dil kÄ« sÅ«rat kÄ
rÅ«mÄl ka.Ä« resham se kaįøhe
vo įø³hat jo kabhÄ« maiƱ ne na paįøhe
mat roko inheƱ paas aane do
ye mujh se milne aa.e haiƱ
meƱ įø³hud na jinheƱ pahchÄn sakūñ
kuchh itne dhuƱdle saa.e haiƱ
kuchh ujįøÄ« mÄƱgeƱ shÄmoƱ kÄ«
ÄvÄz shikasta jÄmoƱ kÄ«
kuchh Tukįøe įø³hÄlÄ« botal ke
kuchh ghuñgrū TuuTī paa.el ke
kuchh bikhre tinke chilman ke
kuchh purze apne dÄman ke
ye taare kuchh tharrÄ.e hue
ye giit kabhī ke gaa.e hue
kuchh sher purÄnÄ« Ä”hazloƱ ke
unvÄn adhÅ«rÄ« nazmoƱ ke
TuuTÄ« huÄ« ik ashkoƱ kÄ« laįøÄ«
ik įø³hushk qalam ik band ghaįøÄ«
mat roko inheƱ paas aane do
ye mujh se milne aa.e haiƱ
maiƱ įø³hud na jinheƱ pahchÄn sakūñ
kuchh itne dhuƱdle saa.e haiƱ
kuchh rishte TuuTe TuuTe se
kuchh sÄthÄ« chhÅ«Te chhÅ«Te se
kuchh bigįøÄ« bigįøÄ« tasvÄ«reƱ
kuchh dhundlī dhundlī tahrīreƱ
kuchh aañsū chhalke chhalke se
kuchh motī Dhalke Dhalke se
kuchh naqsh ye hairÄƱ hairÄƱ se
kuchh aks ye larzÄƱ larzÄƱ se
kuchh ujįøÄ« ujįøÄ« duniyÄ meƱ
kuchh bhaTkÄ« bhaTkÄ« ÄshÄ.eƱ
kuchh bikhre bikhre sapne haiƱ
ye Ĕhair nahīƱ sab apne haiƱ
mat roko inheƱ paas aane do
ye mujh se milne aa.e haiƱ
maiƱ įø³hud na jinheƱ pahchÄn sakūñ
kuchh itne dhuƱdle saa.e haiƱ
mat roko inhen pas aane do
ye mujh se milne aae hain
main KHud na jinhen pahchan sakun
kuchh itne dhundle sae hain
do panw bane hariyali par
ek titli baiThi Dali par
kuchh jagmag jugnu jangal se
kuchh jhumte hathi baadal se
ye ek kahani nind bhari
ek taKHt pe baiThi ek pari
kuchh gin gin karte parwane
do nanhe nanhe dastane
kuchh uDte rangin ghubare
babbu ke dupaTTe ke tare
ye chehra banno buDhi ka
ye TukDa man ki chuDi ka
ye mujh se milne aae hain
main KHud na jinhen pahchan sakun
kuchh itne dhundle sae hain
lasai hui rut sawan ki
kuchh saundhi KHushbu aangan ki
kuchh TuTi rassi jhule ki
ek choT kasakti kulhe ki
sulgi si angiThi jaDon mein
ek chehra kitni aaDon mein
kuchh chandni raaten garmi ki
ek lab par baaten narmi ki
kuchh rup hasin kashanon ka
kuchh rang hare maidanon ka
kuchh haar mahakti kaliyon ke
kuchh nam watan ki galiyon ke
mat roko inhen pas aane do
ye mujh se milne aae hain
main KHud na jinhen pahchan sakun
kuchh itne dhundle sae hain
kuchh chand chamakte galon ke
kuchh bhanwre kale baalon ke
kuchh nazuk shiknen aanchal ki
kuchh narm lakiren kajal ki
ek khoi kaDi afsanon ki
do aankhen raushan-danon ki
ek surKH dulai goT lagi
kya jaane kab ki choT lagi
ek chhalla phiki rangat ka
ek loket dil ki surat ka
rumal kai resham se kaDhe
wo KHat jo kabhi main ne na paDhe
mat roko inhen pas aane do
ye mujh se milne aae hain
mein KHud na jinhen pahchan sakun
kuchh itne dhundle sae hain
kuchh ujDi mangen shamon ki
aawaz shikasta jamon ki
kuchh TukDe KHali botal ke
kuchh ghungru TuTi pael ke
kuchh bikhre tinke chilman ke
kuchh purze apne daman ke
ye tare kuchh tharrae hue
ye git kabhi ke gae hue
kuchh sher purani ghazlon ke
unwan adhuri nazmon ke
TuTi hui ek ashkon ki laDi
ek KHushk qalam ek band ghaDi
mat roko inhen pas aane do
ye mujh se milne aae hain
main KHud na jinhen pahchan sakun
kuchh itne dhundle sae hain
kuchh rishte TuTe TuTe se
kuchh sathi chhuTe chhuTe se
kuchh bigDi bigDi taswiren
kuchh dhundli dhundli tahriren
kuchh aansu chhalke chhalke se
kuchh moti Dhalke Dhalke se
kuchh naqsh ye hairan hairan se
kuchh aks ye larzan larzan se
kuchh ujDi ujDi duniya mein
kuchh bhaTki bhaTki aashaen
kuchh bikhre bikhre sapne hain
ye ghair nahin sab apne hain
mat roko inhen pas aane do
ye mujh se milne aae hain
main KHud na jinhen pahchan sakun
kuchh itne dhundle sae hain
- Book : Aawaz do hum ek hain
- Publication : Rekhta Publications
- Book : Nai Nazm ka safar (Pg. 80)
- Author : Khalilur Rahman Azmi
- Publication : NCPUL, New Delhi (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.