aaKHiri mulaqaten
kitnī achchhī hotī haiñ
is se hone vaalī kuchh
āḳhirī mulāqāteñ
vaqt vo hī hotā hai
rañg vo hī hotā hai
aur baat karne kā Dhañg vo hī hotā hai
jaate haiñ vahīñ jis jā
pahlī baar dekhā ho
duur jaate rishte bhī ek pal ko lagtā hai jaise paas aate hoñ
dil dhaḌakne lagtā hai
sard jism meñ yak-dam ziist dauḌ jaatī hai
ek lamhe ko jaise duniyā Thahar jaatī hai
bas us ek lamhe meñ
jitnā arsa bhī us ke saath meñ bitāyā ho dil meñ aur āñkhoñ meñ ghuum ghuum jaatā hai
jab vo lamha chaltā hai tab ye yaad aatā hai
vaqt jā chukā achchhā ab haiñ to faqat yādeñ
kitnī achchhī hotī haiñ
us se hone vaalī kuchh
āḳhirī mulāqāteñ
kitni achchhi hoti hain
is se hone wali kuchh
aaKHiri mulaqaten
waqt wo hi hota hai
rang wo hi hota hai
aur baat karne ka Dhang wo hi hota hai
jate hain wahin jis ja
pahli bar dekha ho
dur jate rishte bhi ek pal ko lagta hai jaise pas aate hon
dil dhaDakne lagta hai
sard jism mein yak-dam zist dauD jati hai
ek lamhe ko jaise duniya Thahar jati hai
bas us ek lamhe mein
jitna arsa bhi us ke sath mein bitaya ho dil mein aur aankhon mein ghum ghum jata hai
jab wo lamha chalta hai tab ye yaad aata hai
waqt ja chuka achchha ab hain to faqat yaaden
kitni achchhi hoti hain
us se hone wali kuchh
aaKHiri mulaqaten
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.