aaKHiri peD kab girega
zamīñ kī ye qaus jis pe tū muztarib khaḌī hai
ye rāsta jis pe maiñ tire intizār meñ huuñ
zamīñ kī us qaus par ufuq par qatār andar qatār lamhāt ke parinde
hamāre hisse ke sabz patte sunahrī minqār meñ liye jāgtī ḳhalāoñ meñ
uḌ rahe haiñ
zamīñ kī us qaus par ufuq par hai nā-basar-karda zindagī kī vo fasl jis kā
hameñ har ek peḌ kāTnā hai
ye chāñd jis par qadam hai terā
ye shahd jis par zabāñ hai merī
ye sabz lamhe ye kirmak-e-shab usī gulistāñ ke mausam-e-abr ke samar haiñ
jahāñ havāoñ ke tez tūfān muntazir haiñ ki āḳhirī peḌ
kab giregā
zamin ki ye qaus jis pe tu muztarib khaDi hai
ye rasta jis pe main tere intizar mein hun
zamin ki us qaus par ufuq par qatar andar qatar lamhat ke parinde
hamare hisse ke sabz patte sunahri minqar mein liye jagti KHalaon mein
uD rahe hain
zamin ki us qaus par ufuq par hai na-basar-karda zindagi ki wo fasl jis ka
hamein har ek peD kaTna hai
ye chand jis par qadam hai tera
ye shahd jis par zaban hai meri
ye sabz lamhe ye kirmak-e-shab usi gulistan ke mausam-e-abr ke samar hain
jahan hawaon ke tez tufan muntazir hain ki aaKHiri peD
kab girega
- Book : Muntakhab Shahkar Nazmon Ka Album) (Pg. 390)
- Author : Munavvar Jameel
- Publication : Haji Haneef Printer Lahore (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.