aaKHiri raat
chāñd TuuTā pighal ga.e taare
qatra qatra Tapak rahī hai raat
palkeñ āñkhoñ pe jhuktī aatī haiñ
añkhḌiyoñ meñ khaTak rahī hai raat
aaj chheḌo na koī afsāna
aaj kī raat ham ko sone do
khulte jaate haiñ simTe-sukḌe jaal
ghulte jaate haiñ ḳhuun meñ bādal
apne gulnār pañkh phailā.e
aa rahe haiñ isī taraf jañgal
gul karo sham.a, rakh do paimāna
aaj kī raat ham ko sone do
shaam se pahle mar chukā thā shahr
kaun darvāza khaTkhaTātā hai
aur ūñchī karo ye dīvāreñ
shor āñgan meñ aayā jaatā hai
kah do hai aaj band mai-ḳhāna
aaj kī raat ham ko sone do
jism hī jism haiñ, kafan hī kafan
baat sunte na sar jhukāte haiñ
amn kī ḳhair, kotvāl kī ḳhair
murde qabroñ se nikle aate haiñ
koī apnā na koī begāna
aaj kī raat ham ko sone do
koī kahtā thaa, Thiik kahtā thā
sar-kashī ban ga.ī hai sab kā shi.ār
qatl par jin ko e'tirāz na thā
dafn hone ko kyuuñ nahīñ tayyār
hosh-mandī hai aaj so jaanā
aaj kī raat ham ko sone do
chand TuTa pighal gae tare
qatra qatra Tapak rahi hai raat
palken aankhon pe jhukti aati hain
ankhDiyon mein khaTak rahi hai raat
aaj chheDo na koi afsana
aaj ki raat hum ko sone do
khulte jate hain simTe-sukDe jal
ghulte jate hain KHun mein baadal
apne gulnar pankh phailae
aa rahe hain isi taraf jangal
gul karo shama, rakh do paimana
aaj ki raat hum ko sone do
sham se pahle mar chuka tha shahr
kaun darwaza khaTkhaTata hai
aur unchi karo ye diwaren
shor aangan mein aaya jata hai
kah do hai aaj band mai-KHana
aaj ki raat hum ko sone do
jism hi jism hain, kafan hi kafan
baat sunte na sar jhukate hain
amn ki KHair, kotwal ki KHair
murde qabron se nikle aate hain
koi apna na koi begana
aaj ki raat hum ko sone do
koi kahta tha, Thik kahta tha
sar-kashi ban gai hai sab ka shiar
qatl par jin ko e'tiraaz na tha
dafn hone ko kyun nahin tayyar
hosh-mandi hai aaj so jaana
aaj ki raat hum ko sone do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.