Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aaKHiri raat

Mahmood Ayaz

aaKHiri raat

Mahmood Ayaz

MORE BYMahmood Ayaz

    qarīb-e-āḳhir-e-shab hai mire gale lag jaao

    vidā-e-shām-e-tarab hai mire gale lag jaao

    ab ek umr judā.ī ke fāsle hoñge

    bas ek vaqfa-e-shab hai mire gale lag jaao

    gila-guzār-e-zamāna huuñ tum ḳhafā kyuuñ ho

    gila to husn-e-talab hai mire gale lag jaao

    tamām umr jo rah rah ke yaad aa.egī

    yahī vo sā.at-e-shab hai mire gale lag jaao

    dayār-e-ġhair meñ tum ko kahāñ maiñ DhūñDūñgā

    ye ḳhatm-e-ahd-e-tarab hai mire gale lag jaao

    qarib-e-aKHir-e-shab hai mere gale lag jao

    wida-e-sham-e-tarab hai mere gale lag jao

    ab ek umr judai ke fasle honge

    bas ek waqfa-e-shab hai mere gale lag jao

    gila-guzar-e-zamana hun tum KHafa kyun ho

    gila to husn-e-talab hai mere gale lag jao

    tamam umr jo rah rah ke yaad aaegi

    yahi wo saat-e-shab hai mere gale lag jao

    dayar-e-ghair mein tum ko kahan main DhunDunga

    ye KHatm-e-ahd-e-tarab hai mere gale lag jao

    Source :
    • Book : naqsh-e-bar aab (Pg. 30)
    • Author : mahmood ayaaz
    • Publication : Modern Publishing House, Darya Ganj new delhi (2001)
    • Edition : 2001
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now