aaKHiri rusumat ke dauran
tumheñ yaad hai
mohabbat kī āḳhirī rusūmāt ke daurān
tanhā.ī ke ek jañgal meñ
maiñ ne tumheñ mohabbat kā āḳhirī tohfa bhī diyā thā
mere kuñvāre-pan kī ḳhushbū
tumhāre pasīne meñ guñdh ga.ī thī
vo shaam
pahle bose se shurūa
huī thī
aur andhere kī nazr ho ga.ī thī
lekin mohabbat
be-sāḳhtagī ke is vaar par
ḳhush thī
mohabbat apnī jiit kā jashn manā rahī thī
kyā ye yaad tumhāre liye
ek tohfa nahīñ hai
jo us din tumheñ milā thaa...
tumhein yaad hai
mohabbat ki aaKHiri rusumat ke dauran
tanhai ke ek jangal mein
main ne tumhein mohabbat ka aaKHiri tohfa bhi diya tha
mere kunware-pan ki KHushbu
tumhaare pasine mein gundh gai thi
wo sham
pahle bose se shurua
hui thi
aur andhere ki nazr ho gai thi
lekin mohabbat
be-saKHtagi ke is war par
KHush thi
mohabbat apni jit ka jashn mana rahi thi
kya ye yaad tumhaare liye
ek tohfa nahin hai
jo us din tumhein mila tha
- Book : hairat ke us paar (Pg. 79)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.