aaKHiri sach
chehre tamām dhuñdle nazar aa rahe haiñ kyuuñ
kyuuñ ḳhvāb ratjagoñ kī havelī meñ dab ga.e
hai kal kī baat uñglī pakaḌ kar kisī kī maiñ
mele maiñ ghūmtā thā khilaunoñ ke vāste
jitne varaq likhe the mirī zindagī ne sab
āñdhī ke ek jhoñke meñ bikhre hue haiñ sab
maiñ chāhtā huuñ phir se sameTūñ ye zindagī
bachche tamām paas khaḌe haiñ bujhe bujhe
shoḳhī na jaane kyā huī rañgat kahāñ ga.ī
jaise kitāb chhoḌ ke jaate hue varaq
jaise ki bhūlne lage bachcha koī sabaq
jaise jabīñ ko chhūne lage maut kā araq
jaise charāġh niiñd kī āġhosh kī taraf
baḌhne lage añdhere kī zulfeñ bikher kar
bhūle hue haiñ hoñT hañsī kā pata talak
darvāza dil kā band huā chāhtā hai ab
kyā sochnā ki phuul se bachchoñ kā saath hai
ab maiñ huuñ aspatāl kā bistar hai raat hai
chehre tamam dhundle nazar aa rahe hain kyun
kyun KHwab ratjagon ki haweli mein dab gae
hai kal ki baat ungli pakaD kar kisi ki main
mele main ghumta tha khilaunon ke waste
jitne waraq likhe the meri zindagi ne sab
aandhi ke ek jhonke mein bikhre hue hain sab
main chahta hun phir se sameTun ye zindagi
bachche tamam pas khaDe hain bujhe bujhe
shoKHi na jaane kya hui rangat kahan gai
jaise kitab chhoD ke jate hue waraq
jaise ki bhulne lage bachcha koi sabaq
jaise jabin ko chhune lage maut ka araq
jaise charagh nind ki aaghosh ki taraf
baDhne lage andhere ki zulfen bikher kar
bhule hue hain honT hansi ka pata talak
darwaza dil ka band hua chahta hai ab
kya sochna ki phul se bachchon ka sath hai
ab main hun aspatal ka bistar hai raat hai
- Book : Shahdaba (Pg. 140)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.