aaKHiri tamanna
shaam utar aa.ī hai
merī umr ke āñgan meñ
ab
din ke ujāle kī ḳhushbū
merī āñkhoñ se hai ojhal
lekin
mere andar
zinda hai faqat
ye tamanna ki
allāh hī allāh kā
naam luuñ
letā rahūñ
roz-o-shab
aur
ik din
yādoñ kī nūrānī qurbat meñ
so jā.ūñ maiñ
ho firdaus-e-barīñ
āñkhoñ meñ
sham utar aai hai
meri umr ke aangan mein
ab
din ke ujale ki KHushbu
meri aankhon se hai ojhal
lekin
mere andar
zinda hai faqat
ye tamanna ki
allah hi allah ka
nam lun
leta rahun
roz-o-shab
aur
ek din
yaadon ki nurani qurbat mein
so jaun main
ho firdaus-e-barin
aankhon mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.