aaKHiri tambih
mujhe mālūm thā tum rasta badloge
tabhī āñkhoñ meñ ḳhvāboñ ko zarā sī bhī jagah na dī
magar ye dil
magar ye dil bahut kambaḳht hai suntā nahīñ merī
so ab jo tum ne apnī raah badlī hai
to ab ma.asūm ban ke rotā-dhotā hai
mujhe kahtā hai phir āġhosh meñ le lo
mujhe siine meñ phir rakh lo
maiñ ab ho baat mānūñgā
magar vo kyā hai naañ us par tumhārā naam kanda hai
tumhārā naam ab vahshat se baḌh kar kuchh nahīñ detā
usī kī chiiz hotī hai ki jis kā naam likkhā ho
tumhārī saarī chīzeñ to tumheñ lauTā chukī huuñ maiñ
suno ye dil bhī le jaao
aur apnī chīzeñ ab sambhāl kar rakhnā
dobāra se tumhāre naam kā kuchh bhī
kabhī bhī aur kahīñ se bhī
kisī tarah bhī mere paas na aa.e
maiñ sayyad huuñ
maiñ jo ik baar de duuñ phir use vāpas nahīñ letī
mujhe malum tha tum rasta badloge
tabhi aankhon mein KHwabon ko zara si bhi jagah na di
magar ye dil
magar ye dil bahut kambaKHt hai sunta nahin meri
so ab jo tum ne apni rah badli hai
to ab masum ban ke rota-dhota hai
mujhe kahta hai phir aaghosh mein le lo
mujhe sine mein phir rakh lo
main ab ho baat manunga
magar wo kya hai nan us par tumhaara nam kanda hai
tumhaara nam ab wahshat se baDh kar kuchh nahin deta
usi ki chiz hoti hai ki jis ka nam likkha ho
tumhaari sari chizen to tumhein lauTa chuki hun main
suno ye dil bhi le jao
aur apni chizen ab sambhaal kar rakhna
dobara se tumhaare nam ka kuchh bhi
kabhi bhi aur kahin se bhi
kisi tarah bhi mere pas na aae
main sayyad hun
main jo ek bar de dun phir use wapas nahin leti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.