aaKHri hatak
namāz ḳhatm ho ga.ī
kisī ne zor se kahā
chehra dekh lījiye
koī qadam nahīñ baḌhā
kafan kā band khol kar
phir se kas diyā gayā
koī qadam nahīñ baḌhā
ḳhudā hī jaane sach thā yā mujhe lagā
ki is hatak pe
us kā zard chehra
thoḌā aur zard paḌ gayā
namaz KHatm ho gai
kisi ne zor se kaha
chehra dekh lijiye
koi qadam nahin baDha
kafan ka band khol kar
phir se kas diya gaya
koi qadam nahin baDha
KHuda hi jaane sach tha ya mujhe laga
ki is hatak pe
us ka zard chehra
thoDa aur zard paD gaya
- Book : Dukh Naye Kapde Badal Kar (Pg. 130)
- Author : Shariq Kaifi
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.