aaKHri KHat
raat kā vaqt hai aahoñ kā dhuāñ ho jaise
chāñd ḳhāmosh hai rūThī huī qismat kī tarah
surma.ī taaq meñ miTTī kā diyā jaltā hai
karvaTeñ letī rahī ūñghte kamre kī fazā
aur maiñ raat ke rote hue sannāTe meñ
paḌh rahā huuñ ki jise ahd-e-vafā kahte haiñ
saath detā nahīñ tārīkī meñ saa.e kī tarah
shiddat-e-karb meñ Duube hue lamhoñ kī ghuTan
lauT aa.ī hai jo maazī kā jharokā TuuTā
sāmne band lifāfe meñ tumhāre ḳhat haiñ
aur maiñ soch rahā huuñ ki tumheñ kyā likkhūñ
raat ka waqt hai aahon ka dhuan ho jaise
chand KHamosh hai ruThi hui qismat ki tarah
surmai taq mein miTTi ka diya jalta hai
karwaTen leti rahi unghte kamre ki faza
aur main raat ke rote hue sannaTe mein
paDh raha hun ki jise ahd-e-wafa kahte hain
sath deta nahin tariki mein sae ki tarah
shiddat-e-karb mein Dube hue lamhon ki ghuTan
lauT aai hai jo mazi ka jharoka TuTa
samne band lifafe mein tumhaare KHat hain
aur main soch raha hun ki tumhein kya likkhun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.