aalam-e-barzaKH
ye to barzaḳh hai yahāñ vaqt kī ījād kahāñ
ik baras thā ki mahīna hameñ ab yaad kahāñ
vahī taptā huā gardūñ vahī añgārā zamīñ
jā-ba-jā tishna o āshufta vahī ḳhāk-nashīñ
shab-garāñ zīst-garāñ-tar hī to kar jaatī thī
sūd-ḳhoroñ kī tarah dar pe sahar aatī thī
ziist karne kī mashaqqat hī hameñ kyā kam thī
mustazād us pe pirohit kā junūn-e-tāza
sab ko mil jaa.e gunāhoñ kā yahīñ ḳhamyāza
nā-ravā-dār fazāoñ kī jhulastī huī luu!
mohtasib kitne nikal aa.e gharoñ se har sū
tāḌte haiñ kisī chehre pe tarāvat to nahīñ
koī lab nam to nahīñ bashre pe farhat to nahīñ
kūcha kūcha meñ nikāle hue ḳhūnī diide
gurz uThā.e hue dhamkāte phirā karte haiñ
nau-e-ādam se bahar-taur riyā ke tālib
ruuh be-zār hai kyuuñ chhoḌ na jaa.e qālib
zindagī apnī isī taur jo guzrī 'ġhālib'
ham bhī kyā yaad kareñge ki ḳhudā rakhte the
ye to barzaKH hai yahan waqt ki ijad kahan
ek baras tha ki mahina hamein ab yaad kahan
wahi tapta hua gardun wahi angara zamin
ja-ba-ja tishna o aashufta wahi KHak-nashin
shab-garan zist-garan-tar hi to kar jati thi
sud-KHoron ki tarah dar pe sahar aati thi
zist karne ki mashaqqat hi hamein kya kam thi
mustazad us pe pirohit ka junun-e-taza
sab ko mil jae gunahon ka yahin KHamyaza
na-rawa-dar fazaon ki jhulasti hui lu!
mohtasib kitne nikal aae gharon se har su
taDte hain kisi chehre pe tarawat to nahin
koi lab nam to nahin bashre pe farhat to nahin
kucha kucha mein nikale hue KHuni dide
gurz uThae hue dhamkate phira karte hain
nau-e-adam se bahar-taur riya ke talib
ruh be-zar hai kyun chhoD na jae qalib
zindagi apni isi taur jo guzri 'ghaalib'
hum bhi kya yaad karenge ki KHuda rakhte the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.