aalamin
ḳhvāb hai yā koī tasavvur hai
ye tavāzun ye fikr kā mīzān
itnā gahrā ḳhamosh āvāza
har taharruk ba-qadr-e-andāza
be-hisārī kā ye ma.adūm hisār
kā.enātoñ kā be-shumār shumār
qulzum-e-be-kanār kā aalam
ālamoñ ke ġhubār kā aalam
kahkashāoñ ke haar lā-mahdūd
mehr-e-be-iḳhtiyār lā-mahdūd
behad-o-be-hisāb sayyāre
daaġh be-dāġh be-panah taare
aisā be-ant hai ḳhalā kyūñkar
ye ḳhudā gar hai ye ḳhudā hai gar
is haqīqat kī kyā haqīqat hai
juz tasavvur kahāñ ye vus.at hai
KHwab hai ya koi tasawwur hai
ye tawazun ye fikr ka mizan
itna gahra KHamosh aawaza
har taharruk ba-qadr-e-andaza
be-hisari ka ye madum hisar
kaenaton ka be-shumar shumar
qulzum-e-be-kanar ka aalam
aalamon ke ghubar ka aalam
kahkashaon ke haar la-mahdud
mehr-e-be-iKHtiyar la-mahdud
behad-o-be-hisab sayyare
dagh be-dagh be-panah tare
aisa be-ant hai KHala kyunkar
ye KHuda gar hai ye KHuda hai gar
is haqiqat ki kya haqiqat hai
juz tasawwur kahan ye wusat hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.