aalu khane wale
khūñTī pe laTke ik lamp kī
piilī piilī raushnī meñ
thakī thakī sī shaam kī piiTh
dīvāroñ par dhueñ ke bādal kī parteñ
kamre meñ lakḌī kā TūTā-phūTā Table
aur purānī chaar kursiyāñ
Table par miTTī kī plate meñ uble aalū kī ḳhushbū
aalū kī ḳhushbū meñ bhīgā komal haath
aur mirī donoñ āñkheñ bhī
zā.iqa letī haiñ aalū kā rañgoñ meñ
khunTi pe laTke ek lamp ki
pili pili raushni mein
thaki thaki si sham ki piTh
diwaron par dhuen ke baadal ki parten
kamre mein lakDi ka TuTa-phuTa Table
aur purani chaar kursiyan
Table par miTTi ki plate mein uble aalu ki KHushbu
aalu ki KHushbu mein bhiga komal hath
aur meri donon aankhen bhi
zaiqa leti hain aalu ka rangon mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.